Awaz aa rahi hain.
- Ali Safdar (2006)
Awaz aa rahi hain...x4
Awaz aa rahi hain...x2
Awaz aa rahi hain...x2
Maula sada e matam tumko bula rahi hain
Seeno se al ajal ki awaz aa rahi hain
Awaz aa rahi hain....x2
Sadiyon se muntazir hain quraan e rabb e Akbar
Pehlu badal rahi hain khud zulfikar e Haider
Khud zulfikar e Haider
Faryad kar rahi hain Binte Ali ki chadar
(Aaye kamar woh din bhi aaye sada e rehbar) x2
Batil ko aaj haq ki takat mita rahi hain
Akwa raha hain haq ki awaz aa rahi hain
Awaz aa rahi hain.....x2
Maula sada e matam.....
Seeno se al ajal.....
Awaz aa rahi hain...x2
Soye huwe mujahid bedar ho rahe hain
Maula teri madad ke ikrar ho rahe hain
Ikrar ho rahe hain
Majboor e waqt jo the Mukhtar ho rahe hain
(Sab naasirane Mehdi tayyar ho rahe hain)x2
Aankhon me Karbala hain aur ashk beh rahe hain
Hathyaar saj rahe hain labbaik keh rahe hain
Awaz aa rahi hain ....x2
Maula sada e matam....
Seeno se al ajal.....
Awaz aa rahi hain....x2
Saaye me noor e haqqe zere amaan e Mehdi
Sar par kafan hain baandhe dekho jawaan e Mehdi
Dekho jawaan e Mehdi
Jaan warne ko sab hain tayyar jaan e Mehdi
(Uth uthke dekhte hain sab naasiran e Mehdi) x2
Bai'at ki wadiyon se jhalkar aa rahi hain
Sadqe Imam e haq me talwar aa rahi hain
Awaz aa rahi hain...x2
Maula sada e matam....
Seeno se al ajal.....
Awaz aa rahi hain...x2
Maula hamare itne awaz de rahe hain
Ham beparon ko apne parbaas de rahe hain
Parbas de rahe hain
Woh nam par madad ke eijaz de rahe hain
(Sab teer Karbala se awaz de rahe hain) x2
Khoya hua zameere inka jata rahi hain
Jo sun raha hain usko awaz aa rahi hain
Awaz aa rahi hain....x2
Maula sada e matam.....
Seeno se al ajal.....
Awaz aa rahi hain...x2
Tanha Imam e dauraan sabko bula raha hain
Jhoole se ek baccha khud ko gira raha hain
Khud ko gira raha hain
Quraan apni surat daman me la raha hain
(Apna gawah lekar Shabbir aa raha hain) x2
Masum ek hichki maqtal me khata rahi hain
Kanon me bezubaan ki awaz aa rahi hain
Awaz aa rahi hain...x2
Maula sada e matam....
Seeno se al ajal.....
Awaz aa rahi hain...x2
Aankhon me jam gaya hain batla ke ek manzar
Begoro bekafan hain sehra me lashe Sarwar
Sehra me lashe Sarwar
Nanhi si ek lehad hain padti hain dhup uspar
(Saye me umrbhar ab baithe Rabab kyunkar)x2
Ab bhi Rabab khali jhoola jhula rahi hain
Akbar ki hichkiyon ki awaz aa rahi hain
Awaz aa rahi hain...x2
Maula sada e matam.....
Seeno se al ajal....
Awaz aa rahi hain...x2
Maula madad ko aao bazaar Shaam ka hain
Zaalim ki ek rassi me har gala bandha hain
Har gala bandha hain
Ghairat ka baar uthaye Beemar e Karbala hain
(Zainab ka sar khula hain Abid ka sar jhuka hain)x2
Zainab ka imtehaan hain sar nange ja rahi hain
Abid ki siskiyon ki awaz aa rahi hain
Awaz aa rahi hain....x2
Maula sada e matam....
Seeno se al ajal.....
Awaz aa rahi hain...x2
Is daur me bhi maula manzar ajab dikhaye
Saydaniyon ki halat ko aye khude bachaye
Ko aye khuda bachaye
Padte hi ja rahe hain bepardagi ke saye
(Abbas ke alam ko ab gaiz aa na jaye)x2
Beparda log jaye behiske chal rahe hain
Abbas ki wafa ke aansu nikal rahe hain
Awaz aa rahi hain..x2
Maula sada e matam....
Seeno se al ajal.....
Awaz aa rahi hain.....x2