Akir hussain maa hon
- Miscellaneous (2014)
Akir hussain maa hon
Nazaon kae paalay beta aa jholi mein phelaoon
Akhir hussain maa hoon
Kitni tapish hai beta saya tera banaon
Akhir hussain maa hon
Hukm-e yazid aya teeron pe teer aya
lashon k baad lasha zehra k ghar ka aya
tanha tujhay yahan par mein kese chor jaon
Ujray na ghar kisi ka karti hoon mein duaein
Maqtal mein aa kay tujh ko deti ho mein sadaeyin
Kyun bolta nahin hai aa kay tujhe mana on
Khanjar chala na us pe hai nazaon ka yeh pala
Gardan na kaat us ki ahmad ka hai dulara
Dunya se ja kay beta kahin phr mein mar na jaon
Dhundoo kahan pe ja kay beta kidhar hai mera
Pani diya na uss ko jalta jigar hain mera
Tukray utha utha k lasha tera banaon
Darbar e shaam mein kyun zainab kaa sar khula hai
Haye haye meri sakina ka kurta bhi jala hai
Iss haal e baybasi mein beta mein mar na jaon
Roye kabar mein beta maqtal mein roye zahra
Darvar e sharabi mein roti rahi hai zehra
Rotay huey hasan se noha tera likhaon
Naazoon k palay beta a jholi mein phelaoon
Akhir Hussain maa hoon