Gham e Fatima

- Mir Hasan Mir (2014)


Haay mazluma fatema zehra 
Haay mehruma

Fatema ka bhare madine me gham batane koi nahi aaya 3

Ghar jalane ko kalmago aaye
Hai ghar bujhane koi nahi aaya..!!

1)Kya wo islam ka hi markaz tha 2
Kya madina tha wo muhammed ka 2
Lagrahe the jaha pe zahra k taziyane koi nahi aaya

2)Rassiya thi ali ki gardan me 2
Aur bazaar se guzarte the 2
Sab tamashayi banke takte rahe
Aur chudane koi nahi aaya

3)Dar jala katl hogaye mohsin pasliya sayyed ki toot gayi 2
Fir b kehte ho tm k zehra par zulm dhaane koi nahi aaya

4)Khud hi chunne lagi nabizaadi bikhri tehreer apne baba ki 2
Mustufa ki sanad k tukdo ko
Hay jab uthane koi nahi aaya

5)Har sitam fatema pe dhaaya gaya
Jalta darwaza b giraaya gaya 2
Apne mehdi ko di sada usne 
Hay jab bachane koi nahi aaya

6)Aath Shawwal ko hui Akbar fir shahadat nabi ki beti ki 2
Gir raha tha mazaar bibi ka aur bachane koi nahi aaya