DIL MEI HAI YAAD E SHAHID E KARBALA

- Daste Imamia (iso) (2005)


DIL MEI HAI YAAD E SHAHID E KARBALA

DIL MEI HAI YAADE SHAHIDE KARBALA, CHASHME GHAMGHIN MEI HAI ASHK-E-AZAA (2)

JAAN-E-ZEHRAA-O-ALI JAAN-E-HASSAN, TUMPE HAI GIRYAA KUNAA SHAAHE ZAMAN (2)
MEI HUN PARDES MEI HAI DUUR WATAN, HOTI CHADAR TO TUMHE DETI KAFAN
BAND GAYI HAATH MEI ZAINAB KE RASAN, BHAI MAJBUR HAI GHAZI KI BAHAN (2)
KOI BAAQI NAHI AABID KE SIWAA, CHASHME GHAMGHIN MEI HAI ASHKE AZAA
 
SEH BARAS THI TERI MAASUM KALI, INTEHA JISPE MASAEB KI HUWI (2)
JISKI GARDAN MEI RASAN BAANDHI GAYI, AAG JIS BIBI KE DAAMAN MEI LAGI
PHIR JO SUGHRA SE KABHI MILNA SAKI, AUR TURBAT BHI ANDHERE MEI BANI (2)
YE SAKINA PE SITAM KAISA HUWA, CHASHME GHAMGHIN MEI HAI ASHKE AZAA
 

HAAE BAANU KA WO MAASUM PISAR, DHUND TI HAI JISE DUKHYAA KI NAZAR (2)
JISSE AABAAD THA SHABBIR KA GHAR, CHUP GAYA KHAAK MEI WHO RASHKE QAMAR
DEKH KAR NEZE PE US SHAAN KA SAR, AAJ TAK ROTI HAI MAA KHASTA JIGAR (2)
HAAE BESHIR KO PAANI NA MILA, CHASHME GHAMGHIN MEI HAI ASHKE AZAA
 

CHID GAYI MASHK HUWE BAAZU KALAM, RAN MEI MARA GAYA SAQQA-E-HARAM (2)
TUTA SAADAAT PE EK KOH-E-ALAM, AAYA MAIDAAN SE JAB KHAALI ALAM,
ROKE BOLI YE SAKINA PUR GHAM, PAANI MAANGUNGI NA ASGHAR KI QASAM (2)
NEHER SE LOUT KE AAJAAO CHACHA, CHASHME GHAMGHIN MEI HAI ASHKE AZAA
 

QAASIM-O-AKBAR-O-ABBAS NAHI, TANHA SARWAR HAI KOI PAAS NAHI (2)
AB TO JINE KI KOI AAS NAHI, KOI HAMDARD BA JUSYAAS NAHI
ZAALIMON TUMKO YE EHSAAS NAHI, KYA MOHAMED KA TUMHE PAAS NAHI (2)
RAN MEI KAATO NA MUSAFIR KA GALA, CHASHME GHAMGHIN MEI HAI ASHKE AZAA

KUFAA-O-SHAAM KE BAAZAAR CHALA, RAAHE PURKHWAAR PE BIMAAR CHALA (2)
SAR JUKAAE HUWE SARDAAR CHALA, HAI JO MAJBUR WHO MUKHTAR CHALA
YUN TAK KALAM WHO AZADAR CHALA, JITE JI GHAM YE JISSE MAAR CHALA (2)
HAAE ZAINAB KE NAHI SARPE RIDAA, CHASHME GHAMGHIN MEI HAI ASHKE AZAA