Salaam khaak nasheenon pe sogwaaron ka

- Zeeshan Haider (2011)


Salaam khaak nasheenon pe sogwaaron ka 
Ghareeb dete hain pursa tumhaare pyaron ka 

Salaam unhein jinhein sharm khaaye jaati hai 
Khule saron pe aseeri ki khaak aati hai 

Salaam uspe jo zehmat kash-e-salaasil hai 
Museebaton mein Imaamat ki pehli manzil hai 

Salaam bhejte hain apni shehzaadi par 
Ke jisko saunp gaye marte waqt ghar Sarwar 

Musaafirat mein jisey be-basi ye dikhlaayi 
Nisaar kar diye bachche na bach sakaa bhai 

Aseer ho ke jise shaamiyon ke narghey mein 
Hussainiyat hai sikhaana Ali ke lehjey mein 

Sakina bibi tumhaare ghulam haazir hain
Bujhe jo pyaas to ashqon ke jaam haazir hain 

Ye sin ye hashr ye sadme naye naye bibi 
Kahaan pe baithi ho khaime to jal gaye bibi 

Pahaad raat badi der hai savere mein 
Kahaan ho shaam-e-ghareebaan ke ghup andhere mein 

Zameen-e-garm yateemi ki sakhtiyaan bibi 
Wo seena jis pe ke soti thi ab kahaan bibi

Janaab-e-maadar-e-besheer ko bhi sab ka salaam 
Ajeeb waqt hai kya de tasalliyon ke payaam 

Abhi kalejey mein ek aag si lagi hogi 
Abhi to goad ki garmi na kam hui hogi 

Nahin andhere mein kuchh soojhta kahaan dhoonde 
Tumhara chaand kahaan chhup gaya kahaan dhoonde 

Na is tarah koi kheti hari bhari ujrhi 
Tumhari maang bhi ujrhi hai koakh bhi ujrhi 

Nahin laeenon mein insaan koi Khuda hafiz 
Darinde aur ye bevaarisi Khuda hafiz 

Shareek-e-haq ke durood-o-salaam-e-paighambar 
Salaam Sayyed-e-lolaq ke lutey ghar par 

Salaam tum pe rasool-o-batool ke pyaaro 
Salaam mehr-e-Imamat ke gird sayaaro 

Salaam mohsin-e-Islam khasta tan laasho 
Salaam tum pe shaheedon ke be-kafan laasho 

Bachey to agley baras hum hain aur ye gham phir hai 
Jo chal basey to ye apna salaam-e-aakhir hai