Ehle kufa karbala ka karwan dekha kiye

- Miscellaneous (2014)

Ehle kufa karbala ka karwan dekha kiye (2)

Sabr ka manzar zameen o asma dekha kiye

Ehle kufa karbala ka karwan dekha kiye (2)

De toh di humshakle paighambar ko marne ki raza
As-salam
Ai umme laila ke sahare 
As-salam
De toh di humshakle paighambar ko marne ki raza
Dur tak akbar ko shahe do jahan dekha kiye

Ehle kufa karbala ka karwan dekha kiye (2)

De rahi hai badke abbas e jari baad e vigha
As-salam
Ai tashnakamo ke sahare
As-salam
De rahi hai badke abbas e jari baad e vigha
Jung ghaari ki shahe kawno maka dekha kiye

Ehle kufa karbala ka karwan dekha kiye (2)

Dar pe aaye hurmala ke asghar e besheer jab
As-salam
Ai karbala ke maaha paare
As-salam
Dar pe aaye hurmala ke asghare besheer jab
Muskurakar ghar se teero kama dekha kiya

Ehle kufa karbala ka karwan dekha kiye (2)

Asman ko roya zameen larzi kata sajde me sar
As-salam
Tum ko kahe khoon ke dhare
As-salam
Asman ko roya zameen larzi kata sajde me sar
Hazrate gibreel shah ka imtehaa dekha kiye

Ehle kufa karbala ka karwan dekha kiye (2)

Bekasi aisi ke bus ro ro ke sajjad e hazeen
As-salam
Zainab tumhe duniya pukaare
As-salam
Bekasi aisi ke bus ro ro ke sajjad e hazeen
Baazu e zainab me rassi ke nashan dekha kiye

Ehle kufa karbala ka karwan dekha kiye (2)

Dil ke tukde karbala me dafn hai kis kis jagah
As-salam
Bikhre hue quran ke paare
As-salam
Dil ke tukde karbala me dafn hai kis kis jagah
Der tak sajjad khabron ke nashan dekha kiye