Tarap ke kehte hai Sajjad

- Shadman Raza (2010)


  • Tarap Ke Kehtay

Haaaay

Arsa e hashr me jis waqt ke aaengi Batool

Keh ke farzando ka gham sabko rolaengui Batool

Lab pe mazkoor shahadat ka hilaaeingi Batool

Arsh ke paae ko ro ro ke hilaaeingi Batool

Ous ghari sharm se moou pher na lena zaalim

Khoon baha Fatema Zehra ko tou dena zalim

 

Tarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo x3

 

Woh mera Baba jisse Fatema ne paala tha

Nabi ka Noor e nazar din ka oujala tha

Na ouski laash ko koyi outhaane waala tha

Main outh na sakta tha aur samne parhi thi laash

Sina ki nok pe sar tha tarap rahi thi laash

 

Tarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2

 

Tchatchaa ke sadme ne baba ki torh di thi kamar

Jawaan ki laash par ponhtche the gutniyon tchal kar

Outhaa ke laae the kandhe pe laashae Akbar

Kahaa ye Bano se jaan se guzar gaye Akbar

Nikali ham ne jo bartchi to mar gaye Akbar

 

Tarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2

 

Har ek ankh lahoo se bhigo gaye Qassim

Tchale jo ghore to tampo me kho gaye Qassim

Ke zindagi me hi paamaal ho gaye Qassim

Ragarte geriyan Qassim ka kyta sila dega

Har ek laash ke toukre ke badle kya dega

 

Tarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2

 

Kahaa jalaal me Zainab ne ouski ye jourrat

Kaho ye ousse ke kya dega woh hame daulat

Tum ousse putchho ke Abbas ki hai kya Qimat

Ye jo lahoo bhare gessou hai inka kya dega

Yeh jo kate huwe baazu hai inka kya dega

 

Tarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2

 

Koyi bataae ousse kya hai Ambiya ka Hussein

Pissar Rasool ka aur kya hai Murtouza ka Hussein

Teen roz ka pyassa hai Fatemah ka Hussein

Nahi pataa dil e Fatemah ke tchain ki qimat

Khuda se puchh le kya hai Hussein ki qimat

 

Tarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2

 

Juda badan se tha sar aur kaleja paash

Pari thi ghoron se paamaal tez dhup me laash

Yahaan talaash rida ki wahan kafan ki talaash

Tchupaa lun badle ke armaan ko main Phuphi Amma

Bhulaa doon Shaame Ghariban ko main Phuphi Amma

 

Tarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2

 

Ajab hai haal Sakina ka maa ko sakta hai

Rassan gale me hai sine me dam ataktaa hai

Larazte ashk hai kaanon ke khoon tapakta hai

Gohar jo kaanon se tchine the inka kya dega

Tamaatche isne jo khaae hai inka kya dega

 

Tarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2

 

Phiraayi jaati thi galiyon me Itrate Athaar

Rida saron pe na thi aur majmae agyaar

Bhula doon kaise main beta woh Shaam ka bazaar

Baataae karbe yateema ki kya jazaa dega

Sina ki nok se khentsi rida ka kya dega      

 

Tarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2

 

Qamar Robab ko maaloom hai Saghir ki pyaas

Hai tchai mahine ke batchhe ke zakhm ka ehsaas

Tchupaae rakhti hai jhule ki lakriyan ye paas

Kaho Yazid se Beshir ki khataa kya hai

Ke tchai mahine ke batchhe ka khoon bahaa kya hai

 

Tarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2