Beta Maef Karna
- Shadman Raza (2011)
- Beta muaf Karna
Lekin Shahzade Qassim ka sin itna kam tha ke geer te waqt apne awaz di ke amma mein geera
Yeh awaz sun kar Aqa Hussein ghore ko beer lagate hue tabana maqtal ki taraf rawana hue..
tau fauje ada me phar phar match gayi.. idhar ke ghore udhar aur udhar ke ghore idhar ho gaye aur Qassim Hassan ka laal ghoron ke tapon me aakar tukre tukre ho gaya..
Beta muaf karna mujhe der ho gayi x3
Noore nazar Hassan ke mere para e jigar
Beta muaf karna mujhe der ho
phele huwe zamin pe hain tukre kahan kahan
sine pe tere ghonron ki taankon ke hain nishan
tagdar matchi to ghore idhar se huwe oudhar
Beta muaf karna mujhe der ho
Toum samne ho aur tumhari talaash hai
kaise outhaoun tumko main toukro me laash hai
jaise huwa tha toukre mere bhay ka jigar
Beta muaf karna mujhe der ho
gaihna gaya hai khak par Farva ka mah ka
gulshan me hai Batul ke bikhra huwa gulab
bhay ki yaad ati hai hun dekhta jigar
Beta muaf karna mujhe der ho
maine bohot soulaya hai agosh me tujhe
laashe ko leke jaounga kathri me bandh ke
ma mar na jae laash ke tukron ko dekh kar
Beta muaf karna mujhe der ho
kehti hai ye ourousse ajal tumko kya huwa
sar par tere hai tere zakhm ka sehra saja huwa
kutchla huwa badan hai jabin hai lahu me tar
Beta muaf karna mujhe der ho
girte huwe kissine ne pukara jo dur se
ponhtsa hun har makam pe raftare nur se
ye gham ki inteha thi ke ataa na tha nazar
Beta muaf karna mujhe der ho
halat tumhari dekh ke sina huwa hai shaq
ta hashr hoga ab dile Shabiir ko kalaq
afsos ye rahe ga na ponhtsa main waqt par
Beta muaf karna mujhe der ho