Ghairat E Sajjad

- Sajjad Merchant (2015)


Samne darbar ke ghairate Sajjad ka hai yeh kaisa imtehaan Teen din guzre khari hain x2, Fatima ki betiyaan Shaam waaley has rahe hain, bekaso ko dekh kar Hai charagha(n) chaar soo aur, saj rahe hai bamo-dar Baabe sa’at par ruka hai, bekaso ka carava(n)

Khoon rotha hai jo Abid, us ko ye ehsaas hai Fatima Zehra ki chaadar, shamiyon ke paas hai Dekh kar kehti hai Zainab, mere Ghazi ho kahan

Teen din guzre khari hain x2, Fatima ki betiyaan Sar Ali Akbar ka neze par uthate hain shaqee Sun chuki satrah azaane, berida binte Ali Ro rahi hain har azaan sun, ker Ali Akbar ki maa

Misle Zehra sar jhukaye shaamiyon me aa gayi Chaar barson mein Sakina par za’eefi chaa gayi Kaan bhi zakhmi hain galo, par tamachon ke nishan

Khoon ke aansoon tapakte, hain sar e Shabbir se Poochti hai jab Sakina, Zainab-e-dilgeer se Aye phupi amma yahan se, kab chalega carava(n)

Sab se mushkil merhala Saj,jad ke Yawar ye tha Samne darbaar me jab, qaafila jaane laga Parh rahee thi(n) inna lillah, us ghari sab bibiyaan Samne Darbar Ke Ghairate Sajjad Ka