Na Maro Na Maro Mujhe
- Syed Raza Abbas Zaidi (2015)
Na maaro na maaro mujhe(2)
Mein sakina mein sakina mein yateema hoo mujhe Pathar pathar na maaro
Mein baba ki raaj dulaari
apne chacha ko jaan se pyaari
Mein pardesi hoo dukhyari
dekh rahe ho aawo zaari
Margaye waris ab tanha hoo
Mein sakina....
Paani mangu toh mat dena
seekh liya hai pyaasi rehna
Guth kar jeena guth kar marna
lekin yeh kaisa hai kareena
Dekh lo nabze mein laasha hoo
Baba se thi jung tumhari
bacho se kya hai bezaari
Saans ruk jaati hai hamari
chalne mein bhi hai dushwaari
Chaar baras ki zaeefa hoo
Khoon rawa kaano se hamare
Tumune tamache itne maare
Kaash jo ammu hote pyaare
so gaye wo toh neher kanaare
Phir bhi dekho zinda hoo
Chin gaya mujhse aapka seena
Bhool chuki hok raat ko sona
Dard ka takiya ghum ka bichona
Pyaas lage toh aansoo peena
ek diya jalta bhujta hoo
Ghar se chali toh shehzaadi thi
Ranjo alam ki kab aadi thi
Qismat mein yeh karwa di thi
Paani ki kab faryaadi thi
Naado paani mein tishna hoo
Besar laashe gaur andhera
Khoon ki boo hai ghum ka pehra
Zakhm kaleje ka hai gehra
Aansoo hai rukhsaar pe thehra
Chaar baras ki zaaefa hoo
Pursa hai yeh rehano raza ka
Ae shahzaadi dard ki malika
Haay tera taboot na utha
Tera toh marqad qaidi tha
Kehti rahi tu mein dukhiya hoo