Rone Walon Shehre Madina

- Mir Hasan Mir (2013)


Rone walon shehar madine mein
Ek aisa bhi waqt aaya hai..

kalma goyo ne kalma walo ko
bhare darbar me rulaya hai

hai muqadma rasul zadi ka
bhare darbar me woh aayi hai
jinpe allah bhi durud pare
aise farzand saath laayi hai
pasbane fidak ne fir kaise un gawahon ka dil dukhaya hai

masnade mustafa pe gasib hai
samne mustafa ki beti hai
mera haq de do ai musalmano
rokar khairunnisa yeh kehti hai
mere baba ke baad kyu tumne
fatema par yeh zulm dhaya hai

bola bezarf toh ai nabi zadi
tere haq to mai janta hi nai
ja likhi thi tumhare baba ne 
mai woh tehreer manta hi nai
chaak kardi sanad muhammad ki
kehkaha zor se lagaya hai

qabre ahmad pe jake kehne lagi
fatema ko zaeef kar dala
dekho baba tumhari ummat ne
kitna mujhko zaeef kar dala
mera mohsin shaheed kar dala
mere pehlu pe dar giraya hai

fatema sayyada ko baba ki
gar wirasat pe ikhtiyar nai
fir woh aurat nabi ke hujre ki
ai musalmano wirsadar nahi
jisne maula hasan ki mayyat par
teer hatho se khud chalaya hai

gam aale aba me rehta hai
zikre shabbir aam karta hai
matami tauko teero me 
isliye bhi salam karta
jisne bibi batul ke gam me
dilko baitul huzn banaya hai