Fatima Bazzatum

- Noor Alam Abidi (2015)


Fatima bazzatum minni
..
Man azaha fakatazani...2

....

Jisne isko aziyat dii,
Usne mujhko aziyat dii,
Jisne mujhko aziyat dii,
Usne rab ko aziyat dii,
Hukme khuda se ye caule paighamber hai ....
FATIMA.........

Saare jaha ke logo ne ,
Mursal se farmaya tha ,
Fatima zehra ka rutba ,
Zehno ko samjhaya tha,
Baad e nabi kyu badla badla manzar hai .....
FATIMA....

...

Baap padar beti roye ,
Rone par hai pabandi,
Baad e figat bhi chinaa hai ,
Zulm ki hai ghaira bandi,
Aag ke sholo me ab zehra ka darr hai....
FATIMA.....

.....

Masooma ke phelu par,
Kisne giraya darwaza,
Jisne janabe mohsin ko,
Maa ke shikam me hai maara,
Haye madine me ye kaisa mehshar hai...
FATIMA...

...

Zarb lagai haider ko ,
Maara noor ke pehkar ko,
Qatle karaya zalim ne ,
Zehr daga se shabbar ko ,
Haye zulm ke narge me ab sarwar hai...
FATIMA...

....

Maa ki lehad bhi chuth gayi ,
Nana ka roza bhi chutha,
Mahe rajab ki aakhir me ,
Haye madina bhi chutha ,
Karbobala me ab zehra ka dilbar hai ..
FATIMA....

....


Karbobala me raato ko ,
Fatima zehra roti hai ,
Pushte khaima par aakar ,
Ashko se muh dhoti hai ,
Haye hussaina waaye hussaina lab par hai ...
FATIMA ....

...

Aaya jo roz-e-ashur,
Aale nabi ka khoon bhaha,
Aun-o-mohammed maare gaye,
Qasim bhi pamaal hua,
Haye ujadhne ab zehra ka ghar bar hai ...
FATIMA....

....

Maare gaye abbase jari,
Haye kamar sheh ki tuti,
Haath kate ur mashk chidi,
Haath kate ur mashk chidi,
Katre me ab har bibi ki chadar hai...
FATIMA ...

....

Katle hue pyaase akbar ,
Seene par bharchi khakar,
Haske sidaare asgar bhi ,
Teer laga jab gardan par,
Sheh ke gale par ab zaalim ka khanjar hai ....
FATIMA....

....

Zaalim ne chine aakar,
Sheh ki yateema ke gauhar,
Haye tamache padhte hai,
Baali sakina ke rukh par,
Haye qayamat naize par sheh ka sarr hai...
FATIMA...

....

Shaame gariba aayi hai,
Kaisi udaasi chaayi hai,
Hath pa hai sab ahle haram ,
Aasu me hai tanhai hai ,
Be bistar ke gash me padha ek laagar hai...
FATIMA...

...

Karbobala se kufe ko,
Kafela jaata hai fidvi,
Be makhna be chadar hai,
Fatima zehra ki beti,
Zulm sitam par aamaada ek lashkar hai....
FATIMA...

....

Man azaaha fakataazani (2)