Ay Fatima Sughra Ghar Lut Gaya Beta

- Nadeem Sarwar (1990)


Watan mei ehle haram ka jo kafela pahocha
Basheer karta tha sar apna peet ke nauha
Madine walo nabi ka ujad gaya kunba
Fakat hai mardo mei baki janabe zainul aba

Nabi ke roze pe woh sabse pehle jayege
Vahi pe hale safar apna woh sunayenge

Madine walo ne jis dum suni yeh gum ki khabar
Bukao sina zani se bapa hua mehshaar
Asa sambhale huey ek bibi peeti thi sar
Nabi ke roze pe jaati thi kehti hai padar

Arey Karib naqoke pohchi jo fatema sughra
To usne nalao sewan mei apna naam suna

Aye fatema sughra ghar lut gaya beta..(2)

Kya dhondti hai haal pareshan dulari
Baba ki tere aaiyi nahi firqe sawari
Bhayya ali akbar bhi tera aya na pyaari
Sau bar phuphi ho tei muzloomi pe wari
Mein deti ho pursa

Mei tujko sunati hu wh sab haal safar ka
Pardes mein kis tarha luta gulshane zehra
Sar nange gaya kis tarha bazar mein kunba
Darbare sitamgaar ka aur qaid ka kissa
Sun aai mein dukhiya .. ae fatima sughra

Jis waqt hua barchi se tukde dile akbar
Aankho'n mein basarat na rahi shah ke dilbar
Laashon ko utha le gaye is hal mein sarwar
Girte the har ek laash pe akbar ki samajhkar
Milta na tha laasha .. ae fatima sughra

Shabbir ne jab laasha e farzand ko paya
Khechi jo sina sath kaleja nikal aaya
Mayyat ko jawan bete ki phir jhukke uthaya
Lakar use maidan se khaime mein litaya
Ek hasr tha barpa .. ae fatima sughra

Tu dhundti hai jiski har ek god mein dilgir
Che mah ke asghar ki nahi thi koi taqsir
Mara bine kahil ne tere bhai pe ek tir
Khoon muh se ugal kar hua be jaan wo besheer
Khali hua jhula .. ae fatima sughra

Shaadi hui kasim ki magar ras na aayi
Ek raat suhagan rahi bewa huwi kubra
Pamal kiya zalimo ne dulhe ka laasha
Maqkat mein tane jane hasan bikhra pada tha
In ankhone dekha .. ae fatima sughra

Uf tashnagi bachcho ki jo pate the nahi chayn
Aati thi sadaa e alatash aur kabhi bayn
Jab hadse siva dekha jo atfal ko bechayn
Pani gaya bharne pisare sayyed e kaunayn
Mara gaya saqqa .. ae fatima sughra

Kamsim bhi the pyase bhi the woh dono dulare
Lekin na gaye ladte woh darya ke kinare
Kuch gham nahi jo aun o muhammed gaye mare
Pehle hi se woh bhai ke sadke me utaare
Kya fikr ho unka .. ae fatima sughra

Baad jiske ayaa karbobal mein hua mehshar
Shabbir ki gardan pa chala zulm ka khanjar
Khhaime bhi jalaye gaye aur chin gayi chadar
Na mehramoka majma tha aur hum the khule sar
Har lamha thi eeza .. ae fatima sughra

Bachcho ke gale bazu hamare gaye baandhe
Kuch oo'nt liye itne mein aada waha'n aaye
Un nako pe bithlaya na tha jinpe kajave
Thi gyarah moharram jo chale karbobala se
Din raat safar tha .. ae fatima sughra

Kis tarha sunau mein safar ka tuje ehwaal
Chehro ko chupaye hue the bibiyo ke baal
Is jabr o tashaddut ke safar se tha bura haal
Kuch jism ke hisso se juda ho gayi thi khaal
Woh dekhegi beta .. ae fatima sughra

Sab bibiyo'n ke haath pase pusht bandhe the
Mao ke bajae the pisar maao ko pakde
Raftaar ki tezi se sambhal paye na bachche
Chausat(64) mere masoom gaye naqo se kuchle
Yeh taza alam tha .. ae fatima sughra

Darbar e yazide mein gaye phir hame lekar
Bithlaye the wa'a kursi nasshi satso(700) lakar
Jakde hue rassi me the aur hum the khule sar
Phat jata hai dil karti hu jab yaad woh manzar
Kya waqt kathin tha .. ae fatima sughra

Darbar se le jake rakha qaide sitam mein
Paaya na sukoo'n waah bhi izafa hua ghum mein
Ghut ghut ke sakina mari zindane sitam mein
Ek bar qayamat hui phir ehle haram mein
Lasha bhi na uththa .. ae fatima sughra

Zindaa'n mein hi nanhi si qabr ek banayi
Dafna di basad jabr wahan banu ki jaayi
Hum sabko diya zalimo ne hukme rehaayi
Markar bhi rehai na mayassar use aayi
Woh reh gaayi tanha .. ae fatima sughra

Zindaan ke darwaze pa jab aayi amari
Sar pitke ye bonu e nashaad pukari
Bar aayi tamannae dili ab teri pyaari
Utho chalo ghar jate hai aye dard ki maari
Shak hota tha sina .. ae fatima sughra

Maa deti rahi pitke sar apna duhai
Thi shaak bahut bibiyo ke dil pe judaai
Lekin hui marqad se sakina ke judaai
Phir shaam ke zindaan se karbobala aayi
Phatta tha kaleja .. ae fatima sughra

Jab bibiyo ko ganje shaheeda nazar aaya
Naqe se har el bibi ne apne ko giraya
Nazro mein tha ashur ka manzar jo samaya
Bus dekhte hi muh se kaleja nikal aaya
Har labpe tha nauha .. ae fatima sughra

Sajjad ne dafnadiye jab lashe bahattar
Ansoro azizo ka kiya chehlum e asgar
Abbas ka qasim ka chehlum e akbar
Us alame ghurbat mein kiya chehlum e sarwar
Kuch paas nahi tha .. ae fatima sughra

Sughra ne suni zainabe muztar se ye rudad
Chehra na raha zapt ka gash ho gaayi nashaad
Us waqt anees ehle haram ne jo ki fariyad
Hosh apne gawa baithe waha jitne the aabad
Sab karte the nala .. ae fatima sughra

Aye fatema sughra ghar lut gaya beta