Hai Ibadat Hussain Ka Matam
- Azadar Party (2010)
hai ibadat hussain ka matam
hum ko quran ne ye bataya h
chomty hain usay farishty bhi
matami hath jab uthata h
khoon bahaya na ruk saka matam
zakhm banty na ruk saka matam
hath katay na ruk saka matam
hath katay na ruk saka matam
thak k kehny lagain ye talwarain
ye ibadat to mojzana h
hai ibadat hussain ka matam
hum ko quran ne ye bataya h
nohay parhty hain nooh jaise nabi
ambiya khud safain banaty hain
wo ibadat h matam e shabbir
arsh waly bhi kitny atay hain
farsh matam ka wo mussala h
jis pe kaba namaz parhta h
hai ibadat hussain ka matam
hum ko quran ne ye bataya h
inki awaz hai azan jaise
nala e haq h karbala h
shan iske nishan ki mat pocho
fatah e shah ki ata h yeh
dagh e matam wo dagh h jis main
hajr e aswad dikhai deta h
hai ibadat hussain ka matam
hum ko quran ne ye bataya h
farsh matam ka farsh h aisa
daikh kar arsh jhoomta h jise
aisa sina h matami sina
khoon pasina b chomta h jise
matami hath hath h aisa
jo k jannat k ghar banata h
hai ibadat hussain ka matam
hum ko quran ne ye bataya h
taqat e matam e hussain bani
lal sain ki taqat e parwaz
yehi taghoot e la makan
yehi abdullah shah ki awaz
yehi nara bhi hai malangon ko
yehi rasm e chalandagana h
hai ibadat hussain ka matam
hum ko quran ne ye bataya h
taigh o shamsheer pe jo wajib thy
wo bhi qarze chukaye hain isne
jin pe takhdeerain naz karti hain
wo muqaddar banaye hain isne
yeh bachata h nar e dozakh se
yehi qaidi ko hur banata h
hai ibadat hussain ka matam
hum ko quran ne ye bataya h
khanch leta h jo naqabon ko
kitna mazboot hath h iska
aur haqeeqat se bhi ye waqif h
khoon kis ki ragon main h kiska
sath naslain ye khool deta h
sub ka nam o nasab batata h
hai ibadat hussain ka matam
hum ko quran ne ye bataya h
daikh kar iski saf main nabyon ko
daikh kar iska mojzati asar
daikh kar iski fazilat o azmat
bat ta hogai ye gohar
jo karay ga hussain ka matam
matami woh shareefzada h
hai ibadat hussain ka matam
hum ko quran ne ye bataya h