Kar Rahi Hai Dastan Gham Bayaan
- Shadman Raza (2015)
Haayee shame gariba (3)
Kar rahi hai daastaane gham bayaa khaimo ki raakh (3)
Haayee ye kismat kaha (2) Zainab kaha khaimo ki raakh
Kar rahi hai daastaane gham bayaa khaimo ki raakh (2)
Sar chupane ke liye jaaye bhi to jaaye kidhar
Khoon ke pyaase nazar aate hai bahaqqe nazar
Dur tak faili hai zer (2) aasma khaimo ki raakh
Kar rahi hai daastaane gham bayaa khaimo ki raakh (2)
Aalame islam ko ghairat dilaane ke liye
Zulm iss had hue ye bataane ke liye
Le gayi hai sham tak (2) saidaaniyaa khaimo ki raakh
Kar rahi hai daastaane gham bayaa khaimo ki raakh (2)
Karbala ki khaak par khoon me nahaakar so gaye
Naaz zainab ko tha jinpar qatl wo sab ho gaye
Kaash udte dekhte (2) teero jawaa khaimo ki raakh
Kar rahi hai daastaane gham bayaa khaimo ki raakh (2)
Bediyaan ne zer rasan pathar tapish aur gudkiya
Kya yahi kismet me likha tha ke dekhe ham yaha
Nezayo shamshiro khanjar (2) barchiyaan khaimo ki raakh
Kar rahi hai daastaane gham bayaa khaimo ki raakh (2)
Ham ise ghurbat sakina ki kahe ya bebesai
Sar chupaane ke liye jaane hussain ibne ali
Daalti hai sar me hur k (2) mutthiyaa khaimo ki raakh
Kar rahi hai daastaane gham bayaa khaimo ki raakh (2)
Raakh ne behte lahu ko jasb jis dam kar lia
Chan dhiram par hi sahi par dekhne me lu laga
Ban gayi kaano ki jaise (2) baaliyaan khaimo ki raakh
Kar rahi hai daastaane gham bayaa khaimo ki raakh (2)
Rehmato ka raat din wallah wo taahe nuzul
Khil rahi hai aaj us jaa shabbiri ke phool
Chaar su faili hui thi (2) kal jahan khaimo ki raakh
Kar rahi hai daastaane gham bayaa khaimo ki raakh (2)
Allah Allah karbala se shaam talak ka intehaan
Kar nahi sakta koi asif ki si surat bayaan
Shaadmaan is gham khud hai (2) nauhakhwaan khaimo ki raakh
Kar rahi hai daastaane gham bayaa khaimo ki raakh (3)