Woh Karbala ki Shaam hai

- Afroz (Azhar Abbas) (2012)


Woh karbala ki shaam hai-8

Jis per hai zulm o jaur ki---2
Har intehaa tamaam

Woh karbala ki shaam hai

1.) Woh Shaam jisko kalbe pareshaan kaha gaya
Woh shaam jisko shaame gariba kaha gaya
Woh shaam hai Husain ki-2
Bekas behen ke naam

2.) Woh shaam jiske rukh se tapakti thi bebasi
Woh shaam jisme aale nabi be rida hui
Woh shaam jispe rote-2
Rahe umr bhar imam

3.) Woh shaam jisme lut ta raha ghar Husain ka
Kunba tadap raha tha shahe mashrakain ka
Zulmo sitam ki aag me-2
Jalte rahe khayaam

4.)Woh sham jo ki aale Mohammed ke waaste
Khole hui thi saare musibat ke raaste
Jisko dia naseeb ne-2
Rone ka sirf kaam

5.) Woh shaam jisme kitne muqqadar bigadh gaye
Bhai,behen se maao se bache bichadh gaye
Deti thi zindagi bhi-2
Jaha maut ka payam

6.) Woh shaam jisme aadmi haiwaan bangaya
Aale nabi ke bugz me shaitaan bangaya
Woh zulm bhi kie ke jo-2
The fitratan haraam

7.) Woh shaam jispe ek qayamat guzar gayi
Lamho me kitni sadiyo ki aafat guzar gayi
Woh shaam jisme zulmo-2
Sitam hogaya tha aam

8.) Woh shaam jisme lut gaya qunba rasul ka
Lamho me khaak hogaya gulshan batul ka
Jisme koi kisi ko bhi-2
Karta nahi salam

9.) Woh shaam jisme thokare khaati thi bibiyaa
Gurbat pe apni roti thi Zehra ki betiyaa
Jiske Naseeb me hai-2
Faqat aasu o ke jaam

10.)Purse me har yatim ko milti thi ghudkiaa
Baandhi gayi thi baazue Zainab me rassiyaa
Jisme hua na aale-2
Mohammed ka ehteraan

11.) Khanjar gale pe sholo ki zad per makaan the
Mehmaan karbala ke ajab mezbaan the
Khaane ka intezaam na -2
Paani ka intezaam

12.)Irfan khune dil se yeh nauha likha gaya
Us shaam ke naseeb me rona likha gaya
Din bhar jo dekhti rahi-2
Piyaaso ka katle aam