Chin gayi sar se rida
- Nadeem Sarwar (1995)
aal-e-muhammad pe aafat ki ghadi hai
bhaiya teri behna sar nange khadi hai
nalao-shewan se ek hashr bapa hai
koi na waris raha khaima har ek jal gaya
chin gayi sar se rida karti thi zainab buka
uthne lage khaimo se aag ke sholay
kaise teri behna bachcho ko sambhale
ghash mein mera abid sholo may ghira hai
chin gayi sar se ...
haye ali akbar tum kyon nahi aaye
zaalimon ne aakay sab khaimay jalaye
kaun kare nusrat koi na raha hai
chin gayi sar se ...
cheen liye kaano se shimr ne gauhar
kisse kare shikwa baba na biradar
khoon sakina ke kaano se baha hai
chin gayi sar se ...
aag ne daaman ko jab uske jalaya
bali sakina ne ro-ro ke sunaya
dasht-e-bayaba hai aur karbobala hai
chin gayi sar se ...
maut ke sehra mein gham khurda hirasaa
dhoondti hai bachchi har simt pareshaa
lab pe fakhat baba baba ki sada hai
chin gayi sar se ...
makhtal mein goonji aawaz-e-bunayya
yun na karo naale-aelaiyya
door hai darya bhi aur khooni fiza hai
chin gayi sar se ...
tere chacha ko hai is waqt aziyyat
jao na dariya pe gar hai koi ulfat
mujse kaho beta jo unse gila hai
chin gayi sar se ...
teri phuphi beta sehra-e-bala may
dhoondti hai tumko woh girdo-newa may
teri judai se masroof-e-buka hai
chin gayi sar se ...
sunke anees-e-gham ye nauha iram may
hoor-o-malak naale karne lage gham may
majlis-e-sarwar may kohraam bapa hai
chin gayi sar se ...