Mai inteqaam lunga
- Ali Safdar (2005)
Ya sarallah
Be ayyezam bin kotelat ...x2
Aynat talebo be zahoolil ambiya
Aynat talebo bedamil maktoole be Karbala...x3
Inteqaam...x10
Main inteqaam loonga....x4
Har zulme karbala ka inteqaam
Zainab teri rida ka inteqaam
Abbas e bawafa ka inteqaam
Kehdege khud yeh Mehdi
Main inteqaam loonga...x4
Dam today Karbala me laila ke naujawan ne
Gardan pe teer khaya asghar se bezabaan ne
Aisa sitam na dekha duniya me asmaan ne
Duniya me asmaan ne
Hamshakle Mustafa ka inteqaam
Chashma e benawa ka inteqaam
Har zulme narawa ka inteqaam
Kehte hai khud yeh Mehdi
Main inteqaam loonga....x8
Nehre faraat leli nikla woh mashk bhar kar
Hasrat se dekhte the jiske alam ko Sarwar
Mashkiza chid gaya jab sambhla na fir gardan par
Sambhla na fir gardan par
Bazu kata ke soya darya pe sher e Haider
Sakka e Karbala ka inteqaam
Us tashna bawafa ka inteqaam
Sardar e alkama ka inteqaam
Kehte hai khud yeh Mehdi
Main inteqaam loonga....x8
Maqtal me sarburida Zehra ka gulbadan hain
Tapti huwi zameen par ek lasha bewatan hain
Dono jahan ka malik begoro bekafan hain
Begoro bekafan hain
Rote hain khud payambar is gam me woh chubhan hain
Us haqqe pasaba ka inteqaam
Zahra ke kalbo jaan ka inteqaam
Dukhi huwi zabaan ka inteqaam
Kehte hai khud yeh Mehdi
Main inteqaam loonga....x8
Seene pe sonewali jungle me khogayi hain
Mayyat pe jane kiske sar rakh ke so gayi hain
Sab khayme jal chuke hain aur rat hi chuki hain
Aur raat ho chuki hain
Daryae gam me sari duniya dubo gayi hain
Us mashk us alam ka inteqaam
Shehzadiye haram ka inteqaam
Uske har ek alam ka inteqaam
Kehte hai khud yeh Mehdi
Main inteqaam loonga...x8
Kisne banaya qaidi beemaro khastatan ko
Kisne juda kiya hain bhai se ek behan ko
Beparda karne wale binte shahe zaman ko
Binte shahe zaman ko
Tarsegi teri nasl ta hashr pairahan ko
Beemare Karbala ka inteqaam
Zainab teri rida ka inteqaam
Us laag us hawa ka inteqaam
Kehte hai khud yeh Mehdi
Main inteqaam loonga....x8
Bage fidak bhi cheena dar bhi gira diya hain
Kya kya na Sayyeda par zulmo sitam hua hain
Binte Nabi ka roza jo munhadim kiya hain
Munhadim kiya hain
Yassal nishane qabre Zehra mita diya hain
Us buzate Nabi ka inteqaam
Pehlu shikastani ka inteqaam
Mohsin ki zindagi ka inteqaam
Kehte hai khud yeh Mehdi
Main inteqaam loonga....x8
Sarwar pe ronewalo ab waqt aa gaya hain
Lashkar yazeediyon ka fir sar utha raha hain
Tabdeel abke lekin andaz e Karbala hain
Andaaz e Karbala hain
Ab toh Imam e aakhir yeh keh ke aa raha hain
Ansaar e Karbala ka inteqaam
Zanjeer aur rida ka inteqaam
Gullale Mustafa ka inteqaam
Kehte hai khud yeh Mehdi
Main inteqaam loonga....x8
Aye nasiran e Sarwar uthho safe Jamao
Aye gumguzaro aao lashkar koi banao
matamguzaro aao hathyaar fir sajao
Hathyar fir sajao
Baki rahe abad tak nara bhi woh lagao
Haider ke mehlaka ka inteqaam
Us hamiye khuda ka inteqaam
Mazloom e Karbala ka inteqaam
Kehte hai khud yeh Mehdi
Main inteqaam loonga....x8