Hum wahi log hai

- Shaheed Sibte Jafar (2010)


Hum wahi log hai - 4

Karbala se chale jab ke ahle haram
Guzre ganje shaheeda se ba chashme nam
Girte padte chale Abide khasta dam
Pohche kufa to bole imame umam

Dekhlo kufiyo hum wahi log hai

Hum wahi log hai x 2

Dekhlo kufiyo hum wahi log hai

1. Khatm jis ghar pa aaker shariyat hui
Aur muqammal nabuwat risalat hui
Farz ummat pa jinki ita'at hui
Unki ummat ke haatho ye haalat hui

2. Jinka jibrael jhula jhulate rahe
Huro gilmaan lori sunaate rahe
Banke saael malaaek bhi aate rahe
Ambiya jinke ghar aate jaate rahe

3. Maghbate wahya hai jinka ghar wo hai hum
Jinki sidra bani rehguzar wo hai hum
Jo hai marzi ye rab sar ba sar wo hai hum
Sajdagahe rasool jinka ghar wo hai hum

4. Hum ke Allah ki tarjamani kare
Ambiya jinke ghar ki gulami kare
Jibrael aaye aur jab hasayi kare
Jinno inso malak madhakhwani kare

5. Tum jama jo yahan itnai afraad ho
Dekh kar ham ko mushkil main kyun shaad ho
ya Nabi zadiyaan hai agar yaad ho
Tum hamarai ghulaamo ki aulad ho.

6. Jin ka tum dekh tai ho tamasha yahan
Bint-e-Paighambare do jahan in ki maa
Thi yahi pehlai kufai ki shahzaadiyaan
Thi kaneezain tumhari bahu betiyan.

7. Hum ko taajo hukumat sai raghbaat kahan
Hum tumhaarai bulaanai par aye yahan
Mujhko pehnayai tauk-o-rassan bediyaan
Hun main ibn-e-Imamo Imam-e-zaman.

8. Kaisai kaisia haseen aur piyarai gayai
Mushafe-noor Quran kai paarai gayai
Saamnai apni aankhon kai taarai gayai
Kaisai kaisai jawa apnai maarai gayai.

9. Ghar ka ghar nazrai Karbobala ho gaya
Aaj balwe mei hai itrat-e-Mustafa
Qaid aur band mei hum howe mubtala
Hum ko dar dar phiratai ho tum bai khata.

10. Phir rahai hai jo bazaar main dar ba dar
Lutt gaya do pahar mein bhara ghar ka ghaar
Hai shaheedon kai laashai pade khaak par
Nok-e-naiza pa hai sab shaheedon kai sar.

11. Mai bazahir nahi faur bezaar hu
Bhuka  pyasa aseer aur beemar hu
Mujko majboor mat jaano mukhtar hu
Par razae elahi se lachaar hu

12. Kya meri shayri aur nauha mera
Mir sahab ka arse se israar tha
Aap aye sibte jafar jo pursa diya
Dar haqiqat ye hai sayyada ki ata