Baba Mere Asgar Ko Meri god me dedo

- Waseem Rizvi (2005)


Watan se karbobala ko jo qafela nikla, Toh ghamse ahle madine ne dill ko thamliya,
Yeh gulta choot raha hai rasool ka roza,
Khabar thi chahe huda ko na hoga fir aana,
Hussain dekhte the apne sunhe aangan ko,
Kaha kisine pakadke abaa ke daaman ko...(x2).

Baba mere Asghar ko meri goad mein dedo...(x2)

1. Sughra ne kaha jaao agar jaate ho baba,
Rehti hai toh reh jaae akeli hi yeh dukhya,
Bas itni guzarish hai faqat yeh hai tamanna,
Baba (x2).baba mere Asghar ko meri godh mein dedo.....

2. Sunsaan siyaah raat ka taarah yehi hoga,
Tanhaai ki lamho mein sahara yehi hogi,
Jab koi na hoga toh hamara yehi hoga
Baba...(x2) baba mere Asghar........

3. Uthtega agar dard toh chupchap hi sahugi,
Nana se bhi amma ko kasam kuch na kahugi,
Kuch deen se mariza hu hamesha na rahugi,
Bab...(x2) Baba mere Asghar.......

4. Jaate hue socha hai ke kya hoga hamara,
Hai koun mere ranjo alam baatne wala,
Nanha hi sahi mere liye hoga masiha Baba...(x2) baba mere Asghar......

5. Deen karb ke ban jaaege lamhaat khushi ke,
Har lamha guzarugi mein hamraha isi ke,
Har roz mein le jaaugi roze pe nabi ke,
Baba....(x2) baba mere Asghar......

6. Iss dill ki tamannao ke armaan se sadqe,
Jo shaan hai bacche ki usii shaan ke sadqe,
Asghar pe mein ho jaaugi soh jaan se sadqe,
Baba....(x2) baba mere Asghar......

7. Haath apne badae jo faseel ek bahen ne,
Yeh dekh ke ek aahh bhari shahe zaman ne,
Phir apni zuba(n) mein yeh kaha guncha dahan ne,
Behna....(x2)
behna mujhe kuch der ko aagosh mein lelo