Dua e Fatima Zahra

- Fatema Ladak (2015)


Haye Abbas ya abbas - 4
 
dua e fatema zehra ali ka lakht e jigar
wafa ke shehar ka parwadigaar hai abbas
 
1.kahi pa kafila salaar hai mera gazi
kahi pa parda o dewaar hai mera gazi
kahi pa ahmad e mukhtar hai mera gazi
kahi pa haq ka kharidaar hai mera gazi  
mare hussain ke dil ka karar hai abbas
wafa ke shaher ka parwardigaar hai abbas
 
2.mare jari ke taaruf ma dil ya kehta hai
ya izan e shah ma sar ko jukaye rehta hai
ali ka lal hai kitna azeem rutba hai
magar ya sheh ki gulami pa naaz karta hai  
waqaar kehti hai mera waqaar hai abbas
wafa ke shehar ka parwargigar hai abbas
 
3. hasan ke lal ke tukdhe kahein habib ka sir
wo ran ma aun o muhummad kahin :kahein akbar
jari ne dekh liya darad ka har ik manzar
magar wo ab be chala ran ko chodh kar khanjar  
sabar ki phosuht pa aise sawaar hai abbas
wafa ke shehar ka parwardigaar hai abbas
 
4. gaya tha pani jo lene ali ka shair pisaar
soowe furaat they pyason ki is tarha se nazaar
ke jaise aye ga dariya wo khud abi uth kaar
bala ke dasht ma pyason ka dekh lo manzaar  
har aik pyase bki pyasey pukaar hai abbas
wafa ke shehar ka parwardigaar hai abbas
 
5. wo jis ne pyas ke alaam ma pani tukraya
wo jis ne mashk ke badley ma bazo katwaya
wo jis pa ashkon ka badal kabi nye chaya
magar wo khaimon ma mashkiza jab nye laya  
isey ke soogh ma yun ashk baar hai abbas
wafa ke shehar ka parwarddigaar hai abbas
 
6.utha ke mashk aowee ran jo aa gaye abbas
yun izan e shah pa sar ko juka gaye abbas
karar e qalab shahadat be pa gaye abbas
wafa ko maar ke be jena sekha gaye abbas  
isey karar ko phir be karar hai abbas
wafa ke shehar ka parwardigaar hai abbas
 
7.mere jari ki ibadat : gulamey e sarwar
aqeda kehta hai irfan azmaa lo agar
piya hai doudh be abbas ne yahe keh kar
ya aik jaan to chotey hai mare aqa par  
hazaron jaanen loutane tayaar hai abbas
wafa ke shehar ka parwardigaar hai abbas