Zahra gareeb ho gayi

- Fatema Ladak (2015)


Haaye Zehra Haaye Zehra - 4

Fatema Zehra - 2

deti thi roke binte payambar yehi sada
zahra gareeb hogayi baba tumhare baad

1. Aye baba jaan raato ko soti nahi hu mei
ummat ka aisa pehra hai roti nahi hu mei
sadmo se chur chur hu yeh dil hai ghumzada
zahra gareeb hogayi baba tumhare baad -2

2. baba mei teri yaad mei roti hu jab kabhi
kehte hai mujse ageyeh hai tere ummatti
deen mei bahau ashk ya shab ko karo bukaa
zahra gareeb hogayi baba tumhare baad - 2

3. sab ko khabar thi khoob yeh hai biz'ate nabi
darbaar mei aye baba mei ghanto khadi rahi
lekin kissi ne yeh bhi na bola ke bayth ja
zahra gareeb hogayi baba tumhare baad - 2

4. hay kaun binte mursale haq poochti rahi
hakim se teri ladli haq maang ti rahi
lekin adou ne baage fidaq gasbh kar liya
zahra gareeb hogayi baba tumhare baad - 2

5. dushman hamari jaan ki ummat teri bani
baba abul hassan ke ghale mei rasan padi
rukh apna kalma goyo ne kaisa badal liya
zahra gareeb hogayi baba tumhare baad - 2

6. dar par lagayi aag sitam isspe yeh kiya
pehlu pe mere jalta huwa dar giraa diya
mohsin ko mere zeest se pehle milli qazaa
zahra gareeb hogayi baba tumhare baad - 2

7. jab dar gira to toot gayi pasliya meri
taa der dar ke bich rahi laadli teri
aur kalmago ne zulm ka roka na silsila
zahra gareeb hogayi baba tumhare baad - 2

8. haaye shikasta haal hu sadmo se is kadar
mei kya karu namaaz bhi parti hu bayth kar
mohsin ke ghum ne uthne se majboor kar diya
zahra gareeb hogayi baba tumhare baad - 2

9. dil ko sukoon milta nahi baba al madad
pehlu se haath uthta nahi baba al madad
ruk ti hai sans phat ta hai ghum se mera jigar
zahra gareeb hogayi baba tumhare baad - 2

10. sadaat fatemah sabhi jaan apni khote hai
markad mei aye hilal nabi khoon rote hai
pardti hai roke binte nabi jab yeh marsiya
zahra gareeb hogayi baba tumhare baad - 2