Maqtal me khaleel Aao

- Fatema Ladak (2015)


Tumhen to mil gaya beta khaleel e rabb e jaha'n
manai eid, ke beta nahi hua qurba'n ..
magar ye karbobala hai koi za'eef yahan ..
nikaalta hai jawa'n laal ke jigar se sina'n ..

Tumhare khwab ki soorat dikha raha hai Husain a.s
Jawa'n pisar ka janaza utha raha hai Husain a.s

Maqtal me khaleel a.s aao Imdad ko sarwar a.s ki. Tanha nahin uthhe gi mayyat Ali Akbar a.s ki - 2

1. Akbar ke janazey par is tarha gaey Sarwar a.s
bachha koi chalta ho jis tarha se ghutno'n par
Awaaz labo'n par thi aina Ali Akbar a.s ki.. (Tanha nahin uthhe gi.....)

2. Maanga tha jise sheh ne roro k namazo'n me ..
Athhara (18) baras paala Maan ne jise naazo'n me
Ummat ne mita di wo tasweer payambar s.a ki (Tanha nahin uthhe gi.....)

3. Aey Hur tere bete ko laaey they shah e waala
Ab tu bhi utha aa kar Akbar ka jawa'n laasha
Is waqt zuroorat hai saalaar ko lashkar ki .. (Tanha nahin uthhe gi.....)

4. Darya ki taraf ro kar ye kehne lagey Mola a.s
Kis aalam e ghurbat me tum ne bhi hamen chhoda ..
Abbas a.s chaley aao nusrat ko baradar ki ... (Tanha nahin uthhe gi.....)

5. Baba a.s (Mola Ali) jo yahan aa kar ye laash uthao gey ...
main kuch nahin bolun ga tum khud hi batao gey ..
aasa'n thi buhat Baba wo jang to khaeybar ki ... (Tanha nahin uthhe gi..)

6. Dekhi junhi Akbar ke seeney me lagi barchhi ..
sar peet k zainab (s.a) ne sarwar se kaha bhai ...
haalat ye bana di hai kis ne mere dilbar ki ?? (Tanha nahin uthhe gi.....)

7. Akbar a.s ka khoo'n aalooda sar shaam me jab dekha .
Kehti thi'n Hasan ro kar kuch Aurten dil khasta ..
Maan kaash na Zinda ho is husn k paikar ki .. (Tanha nahin uthhe gi.....)