Ya zainab

- Ali Safdar (2010)


Ya Zainab ,Zainab... 3
Ya Zainab, Zainab... 3
Ya Zainab, Zainab... 3
Ya Zainab , Zainab
Ya Zainab ya Zainab ...4
Shaam me haq ka deep jalaya ya Zainab
Soyee huwi duniya ko jagaya ya Zainab
Nasle imamat ko hain bachaya ya Zainab
Farshe aza ka tun bichaya ya Zainab
Ya Zainab ya Zainab ya Zainab
Ya Zainab ya Zainab ya Zainab...2

Nasre yazeedi tune dhaya ya Zainab ya Zainab
Karbobala ko tune bachaya ya Zainab ya Zainab

Ya Zainab ya Zainab ya Zainab ya Zainab ...x2

Tune badahe di hain zillat aye zaalim
Khaak se kamtar teri hukumat aye zaalim
Di hain hame Allah ne izzat aye zaalim
Ale nabi ne sar na jhukaya ya Zainab ya Zainab
Khutbe se zaalim tharraya ya Zainab ya Zainab
Ya Zainab ya Zainab ya Zainab ya Zainab ...x2

Aql me teri hikmat khaaliq kya aaye
Tu hain samajhta name ajal hain phelaye
Gher ke tujhko karbobala me hum laaye
Tune jab khutbe me bataya ya Zainab
Zalim ye sunkar ghabraya ya Zainab ya Zainab
Ya Zainab ya Zainab ya Zainab ya Zainab ...x2

Binte Ali ne teghe zabaan se jaam maara
Sham ki Jung yazeede khuchsar yu hara
Zaalim ko darbar me jakar lalkara
Shaam me haq ka deep jalaya ya Zainab ya Zainab
Soyee huwi duniya ko jagaya ya Zainab ya Zainab
Ya Zainab ya Zainab ya Zainab ya Zainab..x2

Ruk se saare parde uthaye khutbe me
Andho ko bhi chehre dikhaye khutbe me
Zaalim ko mare tamache khutbe me
Nazro se zaalim ko giraya ya Zainab ya Zainab
Chehrae fasiq tune dikhaya ya Zainab ya Zainab
Ya Zainab ya Zainab ya Zainab ya Zainab...x2

Sabr ki buniyaad zamane me daali
Raste bayat taba kayamat hain khali
Name yazeed ab hashr talak hain ek gaali
Usne kabhi fir chain na paya ya Zainab ya Zainab
Tere mukabil jo bhi aya ya Zainab ya Zainab
Ya Zainab ya Zainab ya Zainab ya Zainab..x2


Khoone jigar se tune hain pala aabid ko
Shaame gariban me hain sambhala aabid ko
Jalte khayme se hain nikala aabid ko
Yane imamat tune uthaya ya Zainab ya Zainab
Nasle imamat ko hain bachaya ya Zainab ya Zainab
Ya Zainab ya Zainab ya Zainab ya Zainab....x2

Zaalim ne go zulmo sitam ki had kardi
Sar urya ta sehra laal ka dil zakhmi
Chhote bade sacche ke gale me ek rassi
Hausla tune itna dikhaya ya Zainab ya Zainab
Bacchi ne bhi sar na jhukaya ya Zainab ya Zainab
Ya Zainab ya Zainab ya Zainab ya Zainab..x2

Jaake kaha yeh qabre nabi pe aye nana
Pheke gaye the patthar ham par aye nana
Neel rasan ke haye muqaddar aye nana
Kufo Shaam me hum ko firaya ya Zainab ya Zainab
Nauha yeh nana ko sunaya ya Zainab ya Zainab
Ya Zainab ya Zainab ya Zainab ya Zainab....x2

Nauha kamar ke dil ne likha hain matam se
Zaahir haq Zainab ne kiya hain matam se
Nasre yazeedi gunj raha hain matam se
Shamme chirage sabr jalaya ya Zainab ya Zainab
Farshe aza ka tun bichaya ya Zainab ya Zainab
Ya Zainab ya Zainab ya Zainab ya Zainab....x2

Nasre yazeedi tune dhaya ya Zainab ya Zainab
Karbobala ko tune bachaya ya Zainab ya Zainab
Ya Zainab ya Zainab ya Zainab ya Zainab....x2