Sajjad natawa hai

- Sayed Shabrez (2015)


Woh sakht imtehaa'n hai sajjad na tava hai
Larze me do jahan hai Be parda bibiyan hai

1) Na mehramo ka narga har ek kadam pe iza,
Haatho me hathkadi hai pairo me bediya hai..

2) Be aas hai sakina aur door hai madina,
Koi nahi sahara apno se dooriyan hai..

3) yeh kaisi mezbaani paaya hai aur na paani,
Sayraab mezbaan hai mehmaan be ama hai..

4) Shehzadiyo ke sar par maqhna hai aur na chadar,
Kisko pukare zainab abbas ab kahan hai

5) Sab chur hai thakan se jaari hai khun badan se,
Lab par atash ke shole manzar dhua dhua hai..

6) Gairat se sar jhuke hai badhte kadam ruke hai,
Bazar e sham hai aur zehra ki betiyan hai

7) Deene khuda bachaya unpar yeh waqt aaya,
Rab ke makaa'n ke waris Lo aaj be makaa'n hai

8) Dharas bandhane wale Hai maut ke hawale,
Dene ko ab tassali durre hai ghudkiyan hai

9) Rehne do ghum ke mausam karne do humko matam,
Tukde Faseel dil hai Aansu abhi rawa hai