Koi Ho to chaale Khudaya
- Nadeem Sarwar (2003)
Koi Ho to chaale Khudaya
(Khudaya) x4
Koi ho to chale khudaya. Koi ho to chale Istighasa hai sar-e-daar Koi ho to chale Aik pyaase pe hai yalghaar. Koi ho to chale Istighasa hai sar-e-daar
(Koi ho to chale) x2
- (Qaafile so gaya maqtal mein sare shaam sabhi) x2 Reh gaya Qaafila saalar
 
(koi ho to chale X2)
 - (Aik beta hai jo gehwaare se utra naa kabhi) x2 Doosra beta hai beemar(
 
koi ho to chale X2)
 - (Khud ko jhule se ghira dete hai jaane waale) x2 Kown aisa hai wafaadar
 
(koi ho to chale X2)
 - (reh gaya naizon ke jangal mein musaffir tanha) x2 Ye shahadat ke hain aasar
 
(koi ho to chale X2)
 - (Lamha lamha ye sadaa deti hai aashoor ki shaam) x2 Beriyan hoti hain tayyar
 
(koi ho to chale X2)
 - (Allah Allah ye lahu pehnaye huwe tanhaayi) x2 Lut gayi kis ki ye sarkaar
 
(koi ho to chaale X2)
 - (Ye hain naamoos-e-nabi khayme se kaise nikle) x2 Kya kare saahib-e-kirdaar
 
(koi ho to chale X2)
 - (Jaane ye kown pase khayma hai girya girya) Hai koi is ka azaadar
 
(koi ho to chale X2)
 - (Jis tarha se dare zindaan pe sakina ro eey) x2 Saath roo-ay- daro deewaar
 
(koi ho to chale X2)
 - (Kis ke lehje mein Ali bol rahen hai logo) x2 Kown bola sar-e-darbaar
 
(Koi ho to chale X2)
 - (Beriyaan jis ki musibat pe lahu roti hain) x2 Kown aaya sar-e-baazar
 
(koi ho to chale X2)
 - (Jo ho us fawj-e-mukhaalif ka sipahi na chale) x2 Han magar Hur ka tarafdaar
 
(koi ho to chale X2)
 - (Ye sadaa aaj bhi maqtal se hilal aati hai) x2 kown haq ka hai talabgaar
 
(koi ho to chale X2)
Koi ho to chale khudaya koi ho to chale khudaya