Na rakh ab chadar

- Nadeem Sarwar (1993)


Na rakh ab chadar bazuo pe
tu neele daagh chupa nai
zahra ki jaa'n sharma nai

Tere nana ka ye roza hai
koi kufa shaam ki raah nai
zahra ki jaa'n sharma nai

na rakh...

1. Jo chadar ujli thi teri rang uska kaise laal hua..(2)
ab sar pe tere aye shehzadi..(2)
wo kyu maujood rida nai
zahra ki jaa'n sharma nai

2. Atthara jo tere bhai the kis baat pe tujhse rooth gaye..(2)
do shehzade kyu saath nahi..(2)
kyu saath abbas tera nai
zahra ki jaa'n sharma nai

3. Ye kaun jawaan hai saath tere hai kapde jiske khoo'n se bhare..(2)
in zakhmo se ye choor hua..(2)
aankho'n se bhi khoo rukta nai
zahra ki jaa'n sharma nai

4. Kis haal mein karbal se aayi aye zainab apne shehr mein tu..(2)
ab iske siwa afsos hai kya..(2)
pehchaan saki sughra nai
zahra ki jaa'n sharma nai

5. Wo bacchi jisko seene pe shabbir sulaya karte the..(2)
meri aakhein dhundh ke haar gayi..(2)
kahi'n milta uska pata nai
zahra ki jaa'n sharma nai

6. Ek ghuncha dahan masoom bhi tha naam uska asghar rakha tha..(2)
kyu khaali god rabab ki hai..(2)
asbaab mein kyu jhoola nai
zahra ki jaa'n sharma nai

7. Rehan karo har dum matam, tum nauha padho har dum sarwar..(2)
ye ek ibadat hai aisi..(2)
jo hoti kabhi bhi qaza nai
zahra ki jaa'n sharma nai

Tere nana ka ye roza hai
koi kufa shaam ki raah nai
zahra ki jaa'n sharma nai