Lutkar watan me aana zainab ke dil se pucho

- Sahibe Aalam (2011)


Lutkar watan me aana zainab Ke dil se poocho,

Nana se kuch Bataan (2) zainab Ke dil se poocho.

1) jab rauza e nabi par saidaaniya gayi thi,zainab tadap tadap Kar ye bain Kar rahi thi (2)

Nana madeeney aana (2) zainab Ke dil se poocho.

2) Nana layee hamaarey durrey lagaa rahey they, Bey waarison ki tarha dar dar phiraa rahey they (2)

Dar dar ki thokar khaana(2) zainab Ke dil se poocho.

3) naizey pey Sar aqee ka aansuu bahaa rahaa tha, Nana sakina ko jab zaalim sataa rahaa tha (2)

Uska bhilakke Rona (2) zainab Ke dil se poocho.

4) koofa wohi tha Nana jisme rahi thi shaahi,log humpey has rahey they yuu aagayi tabaahi (2)

Aabid ka Sar jhukaana (2) zainab Ke dil se poocho.

5) bhai they aur na betey saaya tha barchiyon ka, hum Sar khuley khadey they majmaa tha haajiyon ka (2)

Qutbaa wahaa sunaana (2) zainab Ke dil se poocho.

6) paani dikhaa dikhaa Kar zaalim bahaa rahey they, Har ek qadam pey aada humko sataa rahey they (2)

Abbas ka na Hona (2) zainab Ke dil se poocho.

7) ek doosrey ko zaalim Nana bataa rahey they, ye hai ali ki beti sab ko dikhaa rahey they (2)

Baalon se moo chupaana (2) zainab Ke dil se poocho.

8) taqvi lehad se aayi aawaaz meri jaayi,Sab sun raha hai Nana zainab Teri duhaayi (2)

Qabr e nabi ka hilnaa (2) zainab Ke dil se poocho.