Abbas karbala ki

- Mukhtar Hussain (2014)


abbas alamdar     5

abbas karbala ki zarurat hai dosto 
abbas murtaza ki riyadat hai dosto
abbas ambiya ki karamat hai dosto
abbas zulfikare imamat hai dosto
abbas jaisa koi nhi iss jahan me
maula hussain rehte hai iski amaan me    3
 
koi bayan kaise kare iska martaba 
isko salaam karta hai maryam ka ladlaa
abbas khud hai teesra beta butul ka
ye raaz aaj tak na zamana samajh saka
beta ise butul ne yubhi banaya hai
mohsin k badle deher me abbas aaya hai  3
 
masoomiyat ka shak hai jinhe iski zaat me
inka jawab hai ye meri diniyat me
hargiz koi kami nhi iski sifaak me 
baade hussain hota agar qaynat me
milti ise imamat isika mukaam tha
sajjad ki kasam yahi chautha imam tha    3
 
kaise aaya ho iska bhala kya mukam hai
haatho me iske dono jaha ka nizam hai 
iske liye ye baat zamane me aam hai
abbas bas akela wafa ka imam hai
dono jaha me markade hai saas ek hai
zahra k khandan me abbas ek hai           3
 
ek din khuda se kehne lagi binte mustafa
rohul amin ko mere ghar bhejde khuda
chakki chalaye aake mujhe kaam hai zara
yaad aaraha hai aaj mujhe ek bawafa
kya hai mukam iska jaha ko batana hai
abbas k liye mujhe kurta banana hai        3
 
isko imamato ne galese lagaya hai
shere khuda ne isko duao se paya hai
abbas ko butul ne beta banaya hai
sajjad ne ye raaz jaha ko bataya hai
ye fel har bashar ko bajaal aana chahiye
ghazi ka naam aaye to uth jana chahiye    3
 
dee ka alam rasul ne hamza ko tha diya
hamza k baad jafare tayyar ko mila
jafar se haath o haath li ko ataa hua
ghazi k paas aate hi ghazi hogaya
karbobala k baad kisi ko mila nhi 
ghazi k haath chhod k parcham gaya nhi   3
 
sajjad kya bayan ho abbas ka mukam
iska rasule paak b karte hai ehteram
bheja hai isko madare shabbir ne salaam
iska qasida padhte hai khud waqt k imam
baade zarur dekhna wo waqt aayega
hajj karne kaba rozaye ghazi pe jayega     3