Rokega rab zarur
- Mukhtar Hussain (2014)
Dekh kar 6
rokega rab zarur gunahgar dekh kar 4 par jaane dega sheh ka azaadar dekh kar rokega.................2 ishqe ali me logo nuseri bhi mat bano 2 nafrat ali ko hoti hai ye pyar dekh kar rokega.................2 hum kalmago se achhe hai har kaum kehti hai 2 binte nabi ki kabr ko mismaar dekh kar rokega.................2 kehti hai maa khuda kare bandh jaye aur maraz 2 mujhko ghame hussain me bimaar dekh kar rokega..................2 humto khuda ki yad me jaate hai uske ghar 2 par yaad ali ki aati hai deewar dekh kar rokega..................2 keemat bataoo kyu tujhe rizwan ashq ki 2 boli lagaunga me kharidar dekh kar rokega..................2 jannat me apne saath rakhenge kise ali 2 ye faisla to hona hai kirdar dekh kar rokega..................2 matam b kar liya karo waayiz inn haatho se 2 afsos hota hai inhe bekar dekh kar rokega...................2 haa thik hai likha karo sajjad marhaba 2 bas itna kehde maula ye ashaaar dekh kar rokega...................2