Abhi mat ro behan zainab

- Miscellaneous (2014)


Abhi mat ro behan zainab
Abhi sar pe tere saya hai baqi tere bhai ka

Abhi nazdeek khaimo ke sitamgar to nahi aaye
Musalla tere abid ka jalane ke liye haye
Abhi mehve ibadat hai mera beemar aye behna

Mere seene pe sar rakh kar abhi aasu bahati ho
Hamare bad aye bibi najaf se aaye baba to
Gale baba se milkar ay meri hamsheer ro lena

Abhi akbar ke seene ne sina khaie nahi bibi
Kaleja ko sina bahar abhi laie nahi bibi
Abhi jee bhar ke zainab dekh le akbar ka tu sina

Rida ka soch kar bibi mera dil bhi to phatta hai
Kaza ke bad bhi mujhko ye sadma haye sehna hai
Sina ki nok pe khoon mujh ko ye gam hi rulaye ga

Behan dekho salamt hai abhi abbas ke bazo
Padho nade ali inpar bahao to nahi aasu
Agar drya pe ja kar aaye na abbas to rona

Sakina ke mai hato ko tere hato me deta hi
Yahi ek ilteja tujh se meri majai karta hu
Tujhe rota hua dekhegi to roegi masooma

Baya shabir ka sun kar ye boli sayada zainab
Bhala kistatha se bhai behan ko chin aye ab
Mujhe rote hue tum kehrahe ho aye meri behna