QAYAAL E QAALIQ E AKBAR

- Mukhtar Hussain (2006)


Qayaal e qaaliq e Akbar ka ham qayaal Husain,
Jisey zawaal nahi hai WO laa zawaal husain,
Bashar ki roop me Allah ki misaal Husain,
Dil e rasool ki dhadkan ali ka laal Husain,

Husain jaisey kisii Ke bhi waaledain nahi,
Bohat haseen hai Yousuf Magar Husain nahi.

1) samandaron ney kiyaa jiski naukari ko salaam,
Namaaz karti rahi jis ki bandagii ko salaam,
Kiyaa hai maut ney qudd jis ki zindagi ko salaam,
Zamaana karta hai ab tak usee jarii ko salaam,

Hayaat maut Ke saayil ko baat Deta hai,
Husain teg ko sheh rag se kaat Deta hai.

2) ye kaayenaat riyaasat rayees hai Shabbir,
Dabeer e ishq e qudaa ka Anees hai Shabbir,
Nafas nafas ki sadaa hai Nafees hai Shabbir,
Qasam habeeb ki qismat nawees hai Shabbir,

Qudaa Ke lehjey me aksar kalaam kartey hai,
Husain hurr ko alaihissalam kartey hai.

3) Husain sabr hai eesaar hai mohabbat hai,
Husain ishq ki mazmoon ki ibaarat hai,
Husain rehmatulillaalamii pey rehmat hai,
Husain koi fasaana nahi haqeeqat hai,

Jahaa  me ab bhi shahe mashraqain baaqi hai,
Yazeed mitgaya naa e Husain baaqi hai.

4) diyaa bujhaake Jo raushan karey zameer e Bashar,
Jo kaayenaat me rakhta hai hurshiñaa si nazar
Jo chashm e gaiz se kardey jahaa ko zero o zabr,
Husain zaakir e maabood hai tah e qanjar,

Kamaal e azm e mohammad dikhaàdiya jisney,
Sageer betey ko GAAZI banaadiya jisney.

5) kahii tabassum e asgar kahi Hasan hai Husain,
Kahii pey GAAZI kahi aks e panjatan hai Husain,
Kahi akela kahii qudd me anjuman hai Husain,
Misaal e haider e karrar saf shikan hai Husain,

Har ek muhaaz pey gaalib dikhaayi deta hai,
Husain to abutalib  Deta hai.

6) Husain qaaliq e qaaq e shifaa maseeha bhi,
Husain faiz ka daryaa hai aur pyaasa bhi,
Husain Mazhar e Rabb hai qudaa  ka banda bhi,
Husain laakho pey bhaari rahaa akela bhi,

Husain ne abutalib ki jaanashii ki tarha,
Ulatke rakhdiyaa maidaan aastee ki tarha.

7) gareeb aisa Ke gurbat nisaar  ho jis par,
Shaheed aisa shahaadat nisaar ho jis par,
Zaheen paida zihaanat nisaar ho jis par,
Imam aisa imamat nisaar ho jis par,

Nizaam e deen o shariyyat ki laaj rakhta hai,
Husain ab bhi qudaa ka mizaaj rakhta hai.

8) anaa parast gareebo ka chaarasaaz husain,
Wiqar e Aal e Mohammad nabi ka naaz husain,
Qasam qudaa ki qudaa honey ka Jawab husain,
Kaho ye meer takallum meri namaaz husain,

Nabi se poochlo kya martabaa Husain ka hai,
Ye kaayenaat qudaa ki qudaa husain ka hai.