Hussain ke dar par

- Mir Hasan Mir (2014)


Hussain Ke Dar Par... (9)
Likha Hua Hai Ye Maula Hussain Ke Dar Par... (3)
Jo Chahiye... Jo Chahiye...
Jo Chahiye Woh Milega Hussain Ke Dar Par

1. Sunayi beto'n ko rahib ne dastan e yaqee'n
mera husain hai sab kuch naseeb kuch bhi nahi
agar magar nahi hota.. hussain ke dar par

2. Meri nazar mein ye tafseer e fazkuruni hai
ke ek bheed sadaa ashiqo'n ki rehti hai
khuda ke darr se zyaada.. hussain ke dar par

3. Damishq mein dare zainab pe jo shaheed hua
khud aake le gaye abbas usko karbobala
hui namaz e janaza.. hussain ke dar par

4. Shaheed kehte hai ye auj humne paaya hai
hume hussain ne khud karbala bulaya hai
hai ab qayaam hamara.. hussain ke dar par

5. Salaat mein mere hamraah hogi rooh e salaat
mai baad e matam e sarwar imam e asr ke saath
namaz e asr padhunga.. hussain ke dar par

6. Wahab ki maa se taqabul karo na rahib ka
dar e hussain pe wo bete lene aaya tha
ye dene aayi hai beta.. hussain ke dar par

7. Karam ka chhota sa ek mojiza sunau tumhe
the 2 crore bashar karbala mein phir bhi hume
nahi mila.. nahi mila..
nahi mila koi bhooka.. hussain ke dar par

8. Ye aur baat ke sulbo mein kar raha tha safar
kaha tha maine bhi labbaik isteghase par..
bhala mai kaise na jaata.. hussain ke dar par

9. Bata gayi hai takallum nazar buzurgo ki
bani asad mein tawaej ke qafele mein kabhi
mile imam e zamana.. hussain ke dar par