Karam Maangta hai

- Miscellaneous (2014)


karam mangta hai Ata mangta hai
Bina MURTAZA k tu kya mangta hai

ATa kese ho tjhe pe shan e karimi
kary tujh pe kese wo apni rahimi
jo hai SYEDA khud dua MUSTAFA KI
usy chor kar tu Dua mangta hai

jahan per khuda hai wahi MUSTAFA hay
jahan MUSTAFA hai wahi MURTAZA hai
ALI k bina to NABI na mily ga
Ali K bina tu KHUDA mangta hai

Wo dar jisse rahib ko daulat mili hai
Wahi per se fitrus ko izzat mili hai
Ata apni rakhdi jaha per khuda ne
Wo dar chhodkar tu ata maangta hai

wafa ko sikhay salika wafa ka
sabaq jis ne baksha jahan ko haya ka
mily kese tjh ko haya bhi wafa bhi
ALAM chor kar tu wafa mangta hai

Ye jannat ke maalik ye kauthar ke maalik
Ye deene nabi k ye mimbar k maalik
Bina panjtan ke dua tujo maange
Dua wo kaha baddua maangta hai

Tu kehta hai jinko nabi ke barabar
Wo sab hai bhikhari hai bagi sitamgar
Jo haq chin khaaye nabi k haram ka
Tu aise fakiro se kya maangta hai

Elahi ye kaisa kada waqt aaya
Wo jisne zamane ko parda sikhaya
Wo gairat ka rab hai jo begayrato me
Har ek mod per bas rida maangta hai

Wo ghar se chala tha to kadyal jawan tha
Wo baazaar pohcha jawan fir kaha tha
Wo hai saath jiske wo maaye wo behne
Wo marne ki harpal dua maangta hai