Zainab fiamanillah

- Miscellaneous (2014)


JAB FAUJE KIRDIGAAR ME ...
KOI NAHI BACHAA..
RUKSAT KO AAE KHAIME ME ..
SHAHENSHAAE KARBALA
POHCHE KHAAYAME ZAINABO KULSOOM KE KAREEB
AAWAZ DI BEHAN KO AUR SHABBIR NE KAHA ..
ZAINAB FI AMANillah ... ZAINAB FI AMANillah

AB AAKHRI FARIZA E KHALIQ BHI HO ADAA
MAIN MARNE JAA RAHA HU TUMHE KEHKE ALVIDA
LASHKAR ME KOI BAKI NAHI HAI MERE SIWA

KOI SIPAHI FAUJE KHUDA KA NAHI RAHA
AB MERA JAANASHEEN HAI SAJJAD BE KHATA
REHNA HAI USKE SAATH TUMHE BADE KARBALA

DIN BHAR TO MAINE LAASHO PE LAASHE UTHAE HAI
NA JAANE KITNE ZAKHM KALEJE PE KHAE HAI
AB AAKHRI SALAM KO KHAIME ME AAYE HAI

ZAKHMO NE DARDO GAM ME MUJHE KAR DIYA NIDHAL
MAIN KATL HONE WALA HU ISKA NAHI MALAAL
REH REHKE BE RIDAI KA AATA HAI AB KHAYAL

RAKHNA KHAYAL MERI SAKINA KA AI BEHAN
SOEGI KAISE KHAQ KE BISTAR PE PUR MEHAN
ROEGI JAB BHI YAAD USE AAEGA WATAN

YE KAHKE AL- FARAAQ CHALE SHAHE BEHRO BAR
NIKLE KAMAN ZULM SE WOH TEER AUR TABAR
KI KHAYMA E HARAM KI TARAF AAKHRI NAZAR

GHODE SE AAE SAATH PHIR SULTANE KARBALA
TATHEER RO RAHI THI TADAP NE LAGI KISA
JALTI ZAMEE PE SAJDA KIYA AUR YE KAHA

MAZHAR AJEEB WAQT THA ZAHRA KE LAAL PAR
MANZAR YE DEKHTI THI BEHAN SAR KO PEET KAR
YE KEHKE SUE KHULD KIYA SHAHNE SAFAR