Khat fatima sughra ne ye baba ko likha hai

- Hassan Sadiq (1994)


Khat fatima sughra ne ye baba ko likha hai..(2)
Beemaar hu marti hu..(2)
ye sab tumko pata hai
khat fatima sughra ne....

1. Jis roz se dekha hai moharram ka naya chand..(2)
ye kaise likhun baba..(2)
ke dil toot gaya hai
khat fatima sughra ne....

"Kab laut ke ghar aaoge..(2) bhayya ali akbar
Kab tak mai taku raah ke pathra gai aankhein
Ab to meri saanso ka bharosa nahi koi
Ab jeene ki hasrat se bhi ghabragayi aankhein"

2. Wada to kiya baba nibhane nahi aaye..(2)
bimaar se kis baat pe..(2)
muh pher liya hai
khat fatima sughra ne....

3. Baba mujhe dhasti hai ye tanhai watan ki..(2)
ye ghar ki udaasi hai..(2)
to phir qabr me kya hai
khat fatima sughra ne....

"Baba mera ye bojh se fatt jaata hai seena
Tum jab se gaye ujda hai nana ka madina
Khaak udti hai us ghar me jaha rehti hai sughra
Bhai nahi baba nahi dushwaar hai jeena"

4. Laut aate hai ghar shaam ke hotay hi parinde..(2)
kunba mera kyon ab bhi..(2)
safar may hi raha hai
khat fatima sughra ne....

5. Tum jab se gaye ghar se ye ghar qabr hai meri..(2)
mai zindan hai aise ke..(2)
koi laasha pada hai
khat fatima sughra ne....

"Jhoola ali asghar ka..(2) jhulane ki thi hasrat
Godi me use leke sehlane ki thi hasrat
mai hatho ko phailati aur wo daud ke aata
Seene se use yu bhi lagane ki thi hasrat"

6. Baba mere asghar ka to kuch haal sunao..(2)
us be-zaban ne mujhko..(2)
kabhi yaad kiya hai
khat fatima sughra ne....

7. Dekha hai hasan sadiq rehaan ke nauho me..(2)
ashkon ka samandar hai..(2)
jo palkon pe ruka hai
khat fatima sughra ne....