Dua Fatima Ki

- Shadman Raza (2007)


Dua fatima ki hum ehle aza hai
hume aazmane ki koshish na karna

muqallid hai meesam ke daaro rasan se
kabhi bhi darane ki koshish na karna

1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai
lahu ki taharat sada de rahi hai
najaf ki zami hai saqifa nahi hai
yaha aap aane ki koshish na karna
dua fatima ki..

2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai
lehed ke sirhane se aawaaz aai
azadar e sarwar hai sone do isko
farishto jagane ki koshish na karna
dua fatima ki..

3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne
ye hukme khuda hai bataya nabi ne
ali ke siwa janasheen e mohammad
kisi ko banane ki koshish na karna
dua fatima ki..

4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka
jaha par saja hai alam bawafa ka
khabardar kehde koi mushkilo se
waha aane jane ki koshish na karna
dua fatima ki..

5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad
kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad
husain aapki pusht par aagaye hai
abhi sar uthane ki koshish na karna
dua fatima ki..

6. Khuda ki qasam shak nahi isme koi
nigehbaan khud hai Mohammad ki beti
charagh e azadari jalta rahega
hawao bujhane ki koshish na karna
dua fatima ki..

7. Hai naukar ali ka azal se mizajan
bigad jaega misle tufan fauran
takallum ke aage uduwe ali ka
qasida sunane ki koshish na karna

dua fatima ki hum ehle aza hai
hume aazmane ki koshish na karna...