Haye sajjad chale shaam

- Miscellaneous (2014)


Haye sajjad chale shaam khuda khair kare,
gale me tauq hai aur bediyan hai pairo me
diya hai shaam ke logo ne ye inaam
khuda khair kare..

1. Wo jiske sar se rida bhi kabhi sarak jaae,
to maare sharm ke suraj wahi palat jaae,
sharabiyo se hui hai wo hum kalaam
khuda khair kare..

2. Tamam shehro ke deewar o dar sajaye hai,
khadi hai aurte haatho me sang uthae hai,
kiya hai jashn e fatah ka ye ehtemaam
khuda khair kare..

3. Banake qaidi aulade ali ko laaye hai,
ye shor barpa hai aae hai baaghi aae hai,
macha hai shaam ke logo me kohraam
khuda khair kare..

4. Bazar e shaam me zainab jo berida hai khadi,
bimaare sayyede abid pe kya kathan hai ghadi,
bhare bazaar me harsu hai majma e aam
khuda khair kare..

5. Janabe ghazi ka sar naize pe tadapta tha,
bimar qaidi ki ankho se khun barasta tha,
laeen leta tha zainab ka jab bhi naam
khuda khair kare..

6. Hashr se pehle imam e zama jo aayenge
Ali ki tegh bhi 'akhtar' wo saath laayenge
Yazeediyo se woh lenge jo inteqaam
khuda khair kare..