Awida alwida ay fatima ke laal

- Ali akbar ameen (2014)


Alwida alwida..(2)
ay fatima ke laal, alwida alwida

1. Har matami ke dil me hai farshe aza bichi..husain
har dil me ghum hai aankh ashko se hai bhari..husain
naraaz hoke jaye na madar husain ki..husain
matam kare husain ka pursa hai akhri..husain

2. Mehmaan banke aae the zehra ke noore ain..husain
barpa imam bado me bhi majlis e husain..husain
chaya hua tha har jagah matam ka shoro shain..husain
bache, jawan, budhe sabhi kar rahe the bain..husain

3. Kya ronako ke saath ghum e sheh ka tha sama..husain
majlis ke baad majlis o matam ka silsila..husain
aaya abhi abhi to tha jaise mahe aza..husain
lamho me jaise maahe moharram guzar gaya..husain

4. Koi bhi bharosa nahi apni hayaat ka..husain
kya jane agle saal bhi dekhe mahe aza..husain
is tarha se husainiyo matam karo bapa..husain
karte ho jaise akhri matam husain ka..husain

5. Karbobala me zulm ki yu inteha hui..husain
ek baap ne uthai hai mayyat jawan ki..husain
is tarha qabr shaah ne khodi sagheer ki..husain
sukhe hue gale pe chali kis tarha churi..husain

6. Dekha hai jabse chand moharram ka fatima..husain
ek pal bhi muskuraye nahi hum hai sayyeda..husain
qismat se humko aapke bete ka ghum mila..husain
par kar na paye hum tere purse ka haq ada..husain

7. Rota hai muntazir ka qalam alwida husain..husain
kaise uthaega ye alam alwida husain..husain
jo haq tha wese hoega ab alwida husain..husain
tum par salam shahe umam alwida husain..husain