Ek sakina ek zahra

- Shuja rizvi (2009)


Ek sakina ek zahra..(4)

Baba ko hai rone wali ek sakina ek zahra..(2)

1. Pehlu dar unke gira tha
inko tamache lagte the
unke dar par aag lagi thi..(2)
inka khaima jalta tha

2. Dono ko haakim ne bulaaya
dono hi darbaar gayi
sharmo haya ne unko jakda..(2)
rassi me tha inka galaa

3. Baba ke jaane ke baad
chain se ek din so naa saki
baitul huzn me woh roti thi..(2)
yeh zindaan me roti thi

4. Dono jaanib hi gaasib the
zaalim the aur Qaatil the
unse fidak ko cheena gaya tha..(2)
inki baaliya cheeni thi

5. Dono par hi zulm hue hai
dunya se jaane ke baad
unke roze ko tha giraaya..(2)
yeh zindaan me qaid rahi

6. Dono baba ko pyaari thi
dono hi hassaas bhi thi
unke liye zindaan thi dunyaa..(2)
yeh zindaan me rehti thi

7. Dono ne maasoom shahadat
ko nazdeek te dekha tha
unko mohsin yaad aata tha..(2)
asgar unko yaad aaya

8. Karbe zahra karbe sakina
kitna milta julta tha
maine "qamar" yeh soch ke aakhir..(2)
ek hi nauha likkha tha

Baba ko hai rone wali ek sakina ek zahra..(2)
Ek sakina ek zahra..(4)