Kya hai sakina

- Mir Hasan Mir (2006)


Is baat se mehsoos karo kya hai sakina..(2)
abbas ke honton ka qaseeda hai sakina

1. Aaina e zehra mein jo dekha tera bachpan
har aks pukara ke tu zehra hai sakina

2. Jo pyaas k parcham ki alamdar hai ab tak
abbas ki woh pyari sakina hai sakina

3. Abbas ki nazron se koi padh ke to dekhe
ehsas ki ek nehjay balagha hai sakina

4. Jo mashk mein bhar sakta hai duniya ke samandar
konain mein bas woh tera saqqa hai sakina

5. Har umr k haider ne jhulaya tera jhoola
yeh auj faqat tu ne hi paaya hai sakina

6. Daryaon k labno k qalam choom rahay hain
mai ne abhi likha nahi socha hai sakina

7. Rehan ki surat woh sar afraz rahega
jis ne teri dehleez ko chooma hai sakina