Ek diya qabr e sakina
- Khurshid asri (2010)
Shaam walo se ye abid ne kaha roro kar
ek diya qabr e sakina pe jalana aakar
hoga ehsaan bohot aapka bhai humpar
ek diya qabr e sakina pe jalana aakar
1. Ye wo hai arsh ke paalo ne jise paala hai..(2)
noor zaadi hai ujalo ne ise paala hai..(2)
isne dekhe the kaha shaam ke aise manzar
ek diya qabr e sakina pe jalana aakar
2. Dil ki dhadkan ise shabbir ki sab kehte the..(2)
saath me akbar o abbas sada rehte the..(2)
iske chehre se kabhi hat ti na thi meri nazar
ek diya qabr e sakina pe jalana aakar
3. Dekhke ghar me andhero ko ye ghabrati thi..(2)
sunke aahat ye hawao ki bhi darr jati thi..(2)
aaj tak ye na rahi thi kabhi tanha ghar par
ek diya qabr e sakina pe jalana aakar
4. Konsa pyaar tha isne jo na paaya bhai..(2)
isko hooro ne bhi godi me khilaya bhai..(2)
pyaar se isko sabhi kehte the jaan e madar
ek diya qabr e sakina pe jalana aakar
5. Phool ki tarha hamesha hi rahi haatho me..(2)
dus moharram se nahi soyi thi ye raato me..(2)
so bhi jaati thi to uth jaati thi darr kar khwahar
ek diya qabr e sakina pe jalana aakar
6. Ye kabhi soyi nahi baap ke seene ke siwa..(2)
din me har waqt liye rehte the godi me chacha..(2)
padhti thi saath me phupiyo ke namaz e aksar
ek diya qabr e sakina pe jalana aakar
7. Aunga laut ke roze ko banane ke liye..(2)
dil nahi chahta hargiz mera jane ke liye..(2)
kya karu hukm e mashiyat se hu majboor magar
ek diya qabr e sakina pe jalana aakar
8. Sar khule saare aseero ke barabar hi rahi..(2)
baap ke sar ko kabhi dekhti thi mujhko kabhi..(2)
haath rakh leti thi apne kabhi rukhsaro par
ek diya qabr e sakina pe jalana aakar
9. Shaam walo tumhe nana ki risalat ki qasam..(2)
kijiyo bekaso mazloom pe bus itna karam..(2)
al gharaz sayyad e sajjad chale ye kehkar
ek diya qabr e sakina pe jalana aakar
10. Tumne khurshid ki tarah jo padha hai ash'ar..(2)
noha gulshan ne likha sabne suna ro ro kar..(2)
hind se shaam bulaegi tumhe jab khwahar
ek diya qabr e sakina pe jalana aakar