Sada e husain o akbar

- Ahsan Manglori (2012)


Betaa..
Beta kuch to kaho, mujhse baate karo..(2)
Ran me akbar se bole shahe karbala
Beta kuch to kaho, mujhse baate karo..(2)

Babaa..
Baba kaise kahu, kaise baate karu..(2)
ye ishare se akbar ne ki ilteja
Baba kaise kahu, kaise baate karu..(2)

1. Betaa..
Jante sab hai zehra ka jaaya hu mai
fir bhi inke liye kyu paraya hu mai
tumko maloom kya hai mere laadle
kis qadar thokre khake aaya hu mai
kuch batao ke tumpar guzarti hai kya
ghum se seene me dil phat raha hai mera
Beta kuch to kaho, mujhse baate karo..(2)

2. Babaa..
Thokre aap khaye qayamat hai ye
mere jiteji kaisi azeeyat hai ye
kya karu apni halat se majboor hu
maut nazdeek hone ki halat hai ye
kya batau ke mujhpar guzarti hai kya
mere seene me barchi ka phal hai gadha
Baba kaise kahu, kaise baate karu..(2)

3. Betaa..
Beta apne sarhane bithao mujhe
apne haalat kuch to batao mujhe
khich lunga mai seene se barchi ka phal
zakhm kaisa hai beta dikhao mujhe
haath tumne kaleje pe kyu hai dhara
ghum se seene me dil phat raha hai mera
Beta kuch to kaho, mujhse baate karo..(2)

4. Babaa..
Kaise kehdu ke maine pukara nahi
aapse badhke kuch mujhko pyara nahi
zakhm dekhenge to dil tadap jaega
aap tadpe ye mujhko gawara nahi
haath maine kaleje pe yu hai dhara
mere seene me barchi ka phal hai gadha
Baba kaise kahu, kaise baate karu..(2)

5. Betaa..
Jism me ab tawanai baqi nahi
naaz tha jispe wo  bhai baqi nahi
kuch sahara nahi meri tanhai ka
budhi ankho me binai baqi nahi
tum na bole to ye baap mar jaega
ghum se seene me dil phat raha hai mera
Beta kuch to kaho, mujhse baate karo..(2)

6. Babaa..
Aap tanha hai ya shahe jinno bashar
mai zaeefi me banta sahara magar
saans lena bhi dushwar hone laga
khatm hone ko hai zindagi ka safar
dum nikal jaega ek pal me mera
mere seene me barchi ka phal hai gadha
Baba kaise kahu, kaise baate karu..(2)

7. Betaa..
Jaan aur dil se hai tumpe waari puphi
janta hu tumhe bhi hai pyari puphi
fikr me sab tumhari pareshan hai
der se muntazir hai tumhari puphi
haay khaime me jakar batau mai kya
ghum se seene me dil phat raha hai mera
Beta kuch to kaho, mujhse baate karo..(2)

8. Babaa..
Haa puphijaa ki mujpe nawazish bhi hai
akhri mere dil ki ye khwahish bhi hai
maa puphi ko dikhana na zakhme jigar
ye wasiyat bhi hai aur guzarish bhi hai
waqt e ruqsat yahi hai meri ilteja
mere seene me barchi ka phal hai gadha
Baba kaise kahu, kaise baate karu..(2)

9. Haaye..
Ehsan o fakhr kaise bayaa ho ye ghum
kaapti hai zabaa ro raha hai qalam
ek misre me hai dard ka marsiya
baap ki god me nikla bete ghum
kehte hi reh gaye shahe karbobala
ghum se seene me dil phat raha hai mera
Beta kuch to kaho, mujhse baate karo..(2)