Ya zahra madarjaan

- Shahid Baltistani (2008)


Ya zahra madarjaan..(2)
ya zahra, zahra madar madarjaan

1. Biz'ate qalb e nabi umme abeeha zehra
tere baba ne tujhe rutba diya maa jaisa
jab utha shab ki siyahi me janaza tera
qabr e sarkar e do aalam se ye aati thi sadaa

Ya zahra madarjaan..(2)
ya zahra, zahra madar madarjaan

2. Ye sada dete hai khud haath ke chaale tere
tune hasnain ko paala hai badi mehnat se
zeher shabbar ko mila yu mila mehnat ka sila
khoo ugalte hue kehte the jigar ke tukde

Ya zahra madarjaan..(2)
ya zahra, zahra madar madarjaan

3. Phir wo din aaya ke sarwar ne madina chhoda
teri turbat hui veeran basi karbobala
roze ashoor azan e ali akbar sunkar
ghar ki dehleez pe baithi hui sughra ne kaha

Ya zahra madarjaan..(2)
ya zahra, zahra madar madarjaan

4. Hogaya jung ka aghaaz sare karbobala
sabse pehle gaya maidaan me hurr ka beta
bhai maara gaya fir hurr bhi gaya sue jina
zakhm pe shaah ne rumaal jo bandha to kaha

Ya zahra madarjaan..(2)
ya zahra, zahra madar madarjaan

5. Us taraf zainab e dilgeer ye karti thi dua
mere farzand ho pyaase mere bhai pe fida
pur asar saniye zehra ki dua hoke rahi
laash bacho ki jo dekhi to ye zainab ne kaha

Ya zahra madarjaan..(2)
ya zahra, zahra madar madarjaan

6. Laut kar aaya na saqqa e haram darya se
hogaye haath qalam teer kaleje me lage
hogaya thanda alam sheh ki kamar toot gayi
tod kar kooza sakina ne kaha rote hue

Ya zahra madarjaan..(2)
ya zahra, zahra madar madarjaan

7. Ek kohraam bapa khaima e sarwar me hua
ghar se atthara baras wala jo maqtal ko chala
barchi akbar ke kaleje se jo sheh ne khaichi
haath seene pe rakha aur ye akbar ne kaha

Ya zahra madarjaan..(2)
ya zahra, zahra madar madarjaan

8. Door bano se hua haaye wo nanha baccha
loriya deti hai besheer ko ab khaak e shifa
che mahine ke mujahid pe qayamat guzri
teer khakar ali asghar ke tabassum ne kaha

Ya zahra madarjaan..(2)
ya zahra, zahra madar madarjaan

9. Sheh ne rehan rakha sajda e mabood me sar
shimr ka chalne laga sukhe gale par khanjar
yaad aane lagi maa alame tanhai me
rukh baqiyya ki taraf karke pukare sarwar

Ya zahra madarjaan..(2)
ya zahra, zahra madar madarjaan