Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem

- Shuja rizvi (2012)


Jaade raah'ast muhayya'ast biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem

1. Raasta humko shahadat ka bahattar se mila
azm kitna hume zakhm e  ali akbar se mila
khoon kitna hume abbas e dilawar se mila
hausla faujo ko nanhe ali asghar se mila
kitne maula ke hai ehsaan biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem

2. Raah purkhaar hai dushwaar hai chalne ke liye
kuch sahara nahi girte ko sambhalne ke liye
muntazir khoon hai gardan se nikalne ke liye
ghode tayyar hai laashe ko kuchalne ke liye
shaah hai aap ke mehmaan biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem

3. Tashnalab logo ke ye khoon ka darya dekho
tukde tukde jo hai qasim ka ye lasha dekho
bhai abbas ke ye daste burida dekho
lashe asghar liye ye kaun hai tanha dekho
bhargaya laasho se maidaan biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem

4. Wo yazeedi jo the duniya ke hawis ke maare
kardiye deen ke ehkam mo'attal saare
farsh par toot gaye arsh e khuda ke taare
khaak aur khoon me ghalta the wo bikhre paare
nauke naiza pe hai qur'aan biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem

5. Koi eezaa na pohoch paye nabi ghar ko
raahe shabbir me hum ab bhi kata de sar ko
teer lag jae na hurmal ka ali asghar ko
koi barchi nahi lag jae ali akbar ko
jaan par waar do tum jaan biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem

6. Jism pamaal hai qasim ka shikasta sar hai
laash reti pe hai ab muh se zaba bahar hai
jiske sine se ubalta hai lahu akbar hai
teer gardan me hai jiske ye ali asghar hai
hai lahu tahade imkaan biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem

7. Qaid khane ki musibat me koi aas nahi
baap ka sar bhi tasalli ke liye paas nahi
aaj bachi ki madad ke liye abbas nahi
kab se pyasi hai sakina tumhe ehsaas nahi
ye sada deta hai zindaan biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem

8. Muntaqim karbobala ka wo abhi aayega
jo husaini hai wo lashkar me abhi pohchega
kaun aulad ko nusrat ke liye bhejega
kaun akbar ke kaleje se sina khechega
ye husaini ka hai paighaam biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem

9. Aapko zaat ke patthar se bhi ladna hoga
aapko arzo e zan se bhi ladna hoga
aapko nafs ke lashkar se bhi ladna hoga
sirf bahar nahi andar se bhi ladna hoga
maanglo jung ka samaan biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem

10. Nasire mehdiye haq janibe kaaba aaja
chhod kar daulat e duniya ki tamanna aaja
faisla hurr ki tarah karke tu aaja aaja
muntazir tere hi ghaibat me hai maula aaja
tujhpe qurbaan meri jaan biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem

11. Kaash aye kaash koi hota wafa ka meyaar
kaash aye kaash koi rakhta mukammal qirdar
koi tameer kara deta baqaiyye ka mazaar
kaash hum me koi hota janabe mukhtar
hai kaha aisa musalmaan biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem

12. Kaash aye kaash bane karbobala ka lashkar
Kaash aye kaash mile aakhri wo fath o zafar
Kaash jaari rahe maula ki ye nusrat ka safar
karbala muntazir e mehdiye daura hai qamar
dekho tayyar hai maidaan biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem

Husain husain husain...