Ya Zahra Ya zahra

- Shuja rizvi (2012)


ya zahra ya zahra..(8)

1. Aadhi raat ki taariki me lekar chashme tar..(2)
mere maula aa jate hai kabre zahra par
haaye karbe imaame zamaana kabre zahra par
ya zahra ya zahra..(2)

2. Sar ko jhuka kar kabr pe aakar rote rehte hai
chupke chupke jaane kya kya maula kehte hai
subbat alaiyya ki hai sadae marqad ke andar
ya zahra ya zahra..(2)

3. Jaise baade asr hua tha laashe pisar ka haal
maa ki marqad ko kar daala zaalim ne paamaal
door talak bus ret hai phaili mitti aur kankar
ya zahra ya zahra..(2)

4. Ek shikasta pehlu ki aawaaz me kya hai dard
arshe ilaahi kaap raha hai chehrae dee hai zar
ashk mei doobi hui mitti hai rote hai patthar
ya zahra ya zahra..(2)

5. Ghaibat ke parde me hu mehroomi toh dekhe
dadi apne pote ki mazloomi toh dekhe
daadi meri ankho me hai shaam kaa har manzar
ya zahra ya zahra..(2)

6. Raat ki aus hai din ki dhoop ka hai aazaar yaha
qabr ke upar saaye kaa bhi koi nahi imkaa
jaise zainab aur kulsum ke sar pe nahi chaadar
ya zahra ya zahra..(2)

"bibi farmaati hai baaba aapke baad mujhpe wo musibate aayi
jo dino par padti to taareek raaton me badal jaate
jo pahaado par padti to pahaad surme me badal jaate
aaj bhi mahal shaah ke roushan hai
magar teri kabr mutahhar pe na koi saaebaa hai na koi diya jalta hai
ajab nahi ke kabre paighambar se aawaaz aati ho

7. Beti teri qabr pe abtak koi nahi saaya
jaise tha begoro kafan karbal me tera jaaya
kehti hai mitti mei ati yeh qabre paighambar
ya zahra ya zahra..(2)

8. Arshe ilaahi hiltaa hai toh taare rote hai
dadi aapki mazlumi pe saare rote hai
girya kunaa hai saare imaam aur saare paighambar
ya zahra ya zahra..(2)

9. Marqad se aati hai sada yeh binte payambar ki
beta tere karb se waqif hai teri daadi
mohsin ke bhi khoon ka badlaa wajib hai tujhpar
ya zahra ya zahra..(2)

10. Dadi aapke paas hai ab bhi kurta asgar ka
dadi mujhko bus lena hai mohsin kaa badlaa
aap dua de khul jaae bus ghaibat kaa yeh dar
ya zahra ya zahra..(2)

11. Haath me hai is waqt bhi mere haider ki talwaar
mai toh har ek surat me hu aane ko tayyar
roke qamar maula ne kaha tayyar nahi lashkar
ya zahra ya zahra..(2)