maula zahoor kijiye dil bekarar hai
- Shadman Raza (2000)
mere maula
maula zahur kijiye dil bekarar hai
sadiya guzar chuki hai bhot intezaar hai
mere maula 4
antar ki karbala me rasad chaye hame
ai warise hussain madad chaye hume
yeh ruh ki sada hai yeh dil ki pukar hai
jo akhri imam k jitna kareeb hai
usko zahur utna hi lagta kareeb hai
sahil woh saamne hai safina yeh paar hai
karni hai kaenat hai ab adl se wasi
awaz de raha hai tumhe jannatul baqi
bus muntazir imam ka harek mazaar hai
ilmo amal ke sath azadar chaye
nusrat ke wastey bhi toh kirdar chaye
apne amal ka aadmi khud zimmedar hai
dunya ki khwahisho se pare bhagte raho
nazdik hai zuhure sahar jagte raho
nazdik fatema ki chaman ki bahaar hai
fathe mubi me legi anaao ki maat se
bahar nikal ke aaiye andar ki zaat se
aamaal pe faqat hamare in hisaar hai
maula ki intezar me hai sari qaenat
hum muntazir imam ke hai faqr ki hai baat
jisme ke mujtahid hai yeh woh kataar hai
ojhal nazar se sher khuda ka woh sher hai
parda uthega aankh jhapakne ki der hai
bus thodi der aur qamar intezaar hai