Is Tarha Se Jeene Ka Hunar Dete Hain Abbas (A.s.)
- Mir Hasan Mir (2002)
Is Tarha Se Jeene Ka Hunar Dete Hain Abbas (A.s.)……2
Rag Rag Me Wafadariyan Bhar Dete Hain Abbas (A.s.)
Is Tarha Se Jeene Ka Hunar Dete Hain Abbas (A.s.)……
Yeh Aaise Sakhi, Aaise Sakhi, Aaise Sakhi Hain…..2
Kuch Maange Bina Jholiyan Bhar Dete Hain Abbas (A.s.)
Jo Shahre Wafa Ke Liye Jaate Hain Safar Ko…..2
Un Logon Ko Saaman E Safar Dete Hain Abbas (A.s.)
Roze Ki Ziyarat Se Yeh Ehsas Hua
Hai…..2
Binae Tawanaie Se Bhar Dete Hain
Abbas (A.s.)
Jo Kufr Ke Lashkar Se Bhara Hota Hai Aksar…..2
Maidan Wahi Lashon Se Bhar Dete Hain Abbas (A.s.)
Jo Shaks Yahan Rota Hai Shabbir (A.s.) ke Gham Mein…..2
Khush Ho Ke Ushe Khuld Mein Ghar Dete Hain Abbas (A.s.)
Jub Koi Bayan Karta Hai Shabbir (A.s.) Ki Midhat…..2
Lehje Me Qaiyamat Ka Asar Dete Hain Abbas (A.s.)
Shabbir (A.S) Ka Dushman Ho Mukabil To Zuban Ko…..2
Lafzon Ke Tabarraie Tabar Dete Hain Abbas (A.s.)
Sadqe Mein Sakina (S.a.) Ke Kabhi
Maang Ke Dekho…..2
Kuza Hi Nahi Jholi Bhi Bhar Dete Hain Abbas (A.s.)
Masoom Sakina (S.a.) Ko Jo Pani Na Pila Paaie…..2
Woh Hath Juda Jism Se Kardete Hain Abbas (A.s.)
Gazi (A.s.) Ka Qasida Kiya Tahreer To Jaana
Lafzon Ke Aewaz Daad O Gohar Dete Hain Abbas (A.s.)
Is Tarha Jeene Ka Hunar Dete Hain
Abbas (A.s.)
Rag Rag Mein Wafadariyan Bhar Dete Hain Abbas (A.s.)