BAAP

- Shadman Raza (2010)


Din dhale jab karke mazdoori Raza aata hai Baap..(2)
Dekh kar hanste hue bachon ko sukh pata hai baap

Samne Ankhon k jis bete ke mar jata hai baap
Lamha lamha zindagi bhar usko yaad ata hai baap

Jane kitne khwab karte hain safar bache ke sath
Ghar se pehli bar jab school le jata hai baap

Umar bhar rehti hai us bete ke dil me ik khalish
Jab tarakki dekhne se pehle mar jata hai baap

Thaam kar ungli jise chalna sikhaya muddaton
Ek din uske sahare ko taras jata hai baap

Jab numaya kamiyabi chume bete ke qadam
Nazr dilwati hai maa, sajde me gir jata hai baap

Zindagi bhar chalta rehta hai mashinon ki tarah
Maut ki godi me ek din thak k sojata hai baap

Rote rote bus yahi kehta hai wo haye Hussain
Jab kabhi apne jawan bete ko dafnata hai baap

Koi un bachon se puche kya hai shadi ka maza
Byaah ki tareekh rakh kar jinki mar jata hai baap

Roz e ashura bana deti hai maa saqqa hume
Ek chota sa uthane ko Alam lata hai baap

Roke zainab s.a ne kaha baba bhara ghar lut gaya
Jab shabe sham e garibaan me nazar aata hai baap

Kya kahunga haal e Asghar poch bethe jo rubab
Agey jata hai kbhi peeche palat aata hai baap

Mangne aati hai jab darbaar me baag e fidak
Ghamzada beti ko jane kitna yad ata hai baap

Hone hi wali hai is sham e garibaan ki sehar
Bazuon ko choom kar beti ko samjhata hai baap

Qaid khane me hua kohraam bacchi mar gai
Khuwab me ek shab sakeena ko nazar aata hai baap

Ye azadari ka sadqa hai jo barzakh me Raza
Majlison me rote hain hum or jaza pata hai baap..