BEKASON KAY MADADGAAR MOLA ALI A.S
- Miscellaneous (2000)
Bekasaon kay Madadgaar Mola Ali a.s x2
Juzz Teray Koi Apna Sahara Nahi
Tera Dar Chor ker jain Akhir kahan... x2
Ghair ka dar Jabeen ko Gawara nahi.. x2
Jo Ali a.s ka Nahi woh Khuda ka nahi
Jo Nabi ka Nahi s.a.w.w woh Ali a.s ka Nahi
Ay Musalman As'haab say Poch lay
Kiya yeh Qum main Nabi nay Pukara nahi
Aay Kabay main jis dum Ali a.s kay Qadam
Moun kay Bal gir paray budh yeh kehtay howay
Aiyay Aiyay janasheen e Nabi..
Yeh tumhara hi gher hay Hamara nahi
woh tou kamzarf hay jo tujhay Chor day
warna Mola Ali a.s Teri Tazeem ko
Jo Palat ker na Ay woh Sooraj nahi
Jo na Chokhat ko Chomaay wo Tara nahi
Pehlay Tareekh Khyber ki Parh lijiyay
Phir Koi Akhir Faisala dijiyay
Ya yeh kehna Payamber bhi hain Bidat'ti
Ya yeh Kehna Ali ko Pukara nahi
Janay Khandaq main kaisay Musalman thay
Tana e Kufr chup chap suntay rahay
Sab kay pehlon main Talwarain Mojod theen
omr ka sir kisi nay utara nahi
Umer bhar younhi bhatkay ga nadaan wo
jis kay dil main Muhabbat Ali ki nahi
jis kay dil main Muhabbat Ali ki nahi
us ki Kashti ka koi kinara nahi
Lakh Toufaan ay mujhay gham nahi
Meray Honton per hay wird e Naad e ALi a.s
Jo dibo Day Bhanwar main Safeena mera
Aisa koi bhi touufan ka Dhara nahi
Kiun Muslaman Hawadis say darta hay tu...
Teray rehbar hain 14(choda) Zara Ghor ker
Ji rahay hain Zamanay main woh log bhi
jin ka koi bhi sacha sahara nahi..
Kiun Bulandi per naza hay tu is qadar
main Ghulaam e Ali hoon,Ghulaam e Ali
Ay Falak tu tou Kiya teri mehfil main bhi
meri qismat ka koi sitara nahi
Arahi hay yeh marhab ki ab tak sada
juz Ali ger koi foj e islam main
Ghair e farrar o qarrar jarrar tha
jang e khyber main kiun teer mara nahi
Ya tou Rozay pe bulwalo shah e najaf
ya ho Bali pe mujh ko yahan dedani
Arahi hay her ek sans say yeh sada
Ab judai raza ko gawara nahi..